New Delhi: Yakum Feb ko Nirbhaya case ke mujrimoun ko phansi dainay ka faisla mokhar kar diya gaya hai. Kal 1 Feb ko un charoun mujrimoun ko phansi nahi di jayegi. Patiala adalat ne hukum diya hai ke aglay hukum tak mujrimoun ko phansi nahi di jaye gi. Nirbhaya ke mujrimon ko phansi dainay ka amal dobarah multawi kar diya gaya.
Patiala house Court ka hukum jummay ki shaam 5:30 bajey ke baad aaya. Qabal azeen jari kardah death warrant ke mutabiq mujrimoun ko yakam Feb yani kal Burrows hafta ko phansi di janay wali thi. Shaam ko adalat ki janib se naye hukum ki copy di gayi.
Is se qabal, Nirbhaya ijtimai esmatdari aur qatal ke mujrim Pawan Gupta ko Supreme Court se jhatka laga tha. Supreme Court ne mujrim Pawan Gupta ki nazar sani darkhwast kharij kardi. Pawan ne jurm ke waqt na baligh honay ki darkhwast dair ki thi. 20 January ke is hukum par Pawan ne Supreme Court mein darkhwast dair ki thi. Jis mein jurm ke waqt Pawan ke na baligh honay ki darkhwast kharij kar di gayi thi.
Supreme court ne 5 ghantoun mein hi mujrim Pawan Gupta ki darkhwast mustard kardi. Pawan ne jummay ki subah 10.39 bajey Supreme Court mein nazar sani ki darkhwast dair ki thi. Is ke baad Registary ne Chief Justice S.A. Bobde ko aagah kiya.
Is ke foran baad hi, Is darkhwast ko Justice R Banumati, Justice Ashok Bhushan aur Justice A. S. Bopanna ke paas ghhor karne ke liye darj kiya gaya. Is ke baad bench ne Chamber mein ghhor kiya aur darkhwast ko kharij kar diya. –YTN STAFF