New Delhi: Delhi ke naib wazeer aala Manish Sisodia ne charshumbe ke roz kaha ke Delhi hukoomat ne lieutenant governor se baat cheet karte hue Nirbhaya case mein se ek mujrim ki reham ki darkhwast ku mustard karne ki darkhwast ki hai. Sisodia ne media ko bataya ke is muamlay mein ek mujrim ki taraf se ek nai reham ki Darkhwast dair ki yi hai.
Unhoun ne kaha ke hum ne bijli ki raftaar se kaam kiya hai aur file pehlay hi lieutenant governor ko arsaal kar di hai. Unhoun ki kaha ke hamari taraf se koi takheer nahi hogi. Unhoun ne wazeh kiye ke hukoomat ne reham ki appeal mustard karne ki sifarish ki hai.
Mujrimoun mein se ek mujrim Mukesh ke sadar mumlikat se reham ki darkhwast ke baad Delhi hukoomat ki sifarish 24 ghantay se bhi kam waqt mein samne aayi hai. Nirbhaya ijtimai esmatdarri aur qatal case ke 4 mujrimoun mein se ek ne, Mangal ke roz Delhi high court mein un ke khilaaf jari kiye gaye death warrant ko challenge karte hue rujoo kiya.
7 January ko, Delhi ke adalat ne Nirbhaya esmatdarri o qatal case mein charoun mujrimoun ke khilaaf death warrant jari kiya tha. Death warrant jari karte hue additional session judge Satish Kumar Arora ne hidaayat ki ke 22 January ko subah 7 bajey mujrimoun ko phansi di jaye.
Wazeh ho ke 16 decemeber 2012 ko ek 23 sala khatoon ke saat 6 afraad ki jaan se ijtimai esmatdarri ki gayi thi aur usay tashadud ka nishana banea gaya tha, Jis ki wajah se is ki mout hogayi thi. Tamam 6 mulzimaan ko giraftar kiya gaya tha aur wo ek na baligh ne insaaf adalat mein pesh huva tha, Jabkay ek aur mulzim ne Tihar jail mein khudkushi karli thi. –YTN STAFF