Sunday, April 20, 2025
HomeIndiaNirbhaya Case : Adalat ne naya death warrant kiya jari, 1 feb...

Nirbhaya Case : Adalat ne naya death warrant kiya jari, 1 feb ko di jaye gi phansi

New Delhi: Delhi ki Patiala House adalat ne Nirbhaya ijtimai esmatdari aur qatal case mein mulawis charoun mujrimoun ke liye jummay ke roz naya death warrant jari kiya hai. Jis ke tehat charoun mujrimoun ko yakam feb ko phansi di jaye gi.

Phansi yakam feb ko subah 6 baje di jaye gi. Nirbhaya ijtimai esmatdari aur qatal case mein, Tihar jail intizamia ne Delhi hukoomat ko ek khat likh kar phansi ki nai tareekh talabb ki thi. Jail intizamia ne Delhi hukoomat se reham ki darkhwast ke tasfie tak phansi ko mokhar karne ko kaha tha.

Jumaraat aur jummay ko Patiala House adalat mein Nirbhaya case mein mujrim qarar diye gaye Mukesh Singh ke death warrant ko challenge karne wali darkhwast ki samaat hui. Tihar jail intizamia ne jumaraat ko Delhi hukoomat ko ek khat likha tha, Taakay phansi ko mokhar kiya jaye. Unhoun ne kaha ke reham ki darkhwast ko te honay tak multawi kiya jaye. Patiala house adalat ne jail intizamia se is silsilay mein ek report talabb ki thi, Jisay jummay ke roz adalat mein pesh kiya gaya.

Jummay ko is muamlay ki samaat ke baad adalat ne death ka naya warrant jari kiya. Is case ke charoun mujrimoun, Mukesh, Vinay Sharma, Akshay Thakur and Pawan Gupta  ko yakam feb ko subah 6 baje Tihar jail mein phansi di jaye gi. Jab jummay ko Patiala house adalat mein samaat shuru hui, To judge ne poocha ke kiya astits hai.? Tihar jail intizamia ka kehna tha ke sadar ne Mukesh ki reham ki darkhwast mustard kardiya hai. Naya death warrant jari kiya jaye.

Is ke baad, Patiala house adalat ne naya death warrant jari kiya. Ab yakam feb ko un charoun mujrimoun ko phansi di jaye gi. Is se qabal un charoun mujrimoun ko, 22 January ko subah 7 bajey phansi di janay wali thi, Magar ek mujrim Mukesh Singh ki janib se sadar ko reham ki darkhwast dainay ke baad, Is phansi ko multawi karne ki darkhwast ki ja rahi thi. Aur jab sadar jamhooria Ram Nath Kovind ne is mujrim ki reham ki darkhwast ko mustard kar diya to, Adalat ne naya death warrant jari kiya. –YTN STAFF