Tuesday, April 30, 2024
HomeHyderabadNIMS mein ultra modern cancer center ka iftitah

NIMS mein ultra modern cancer center ka iftitah

Hyderabad. Riyasati Wazeer Information Technology & Municipal Administration & Urban Development Mr. K. T. Rama Rao ne Nizams Institute of Medical Sciences (NIMS) mein aaj10 crore rupay ki laagat se qaayim kardah apni noiyat ke munfarid Cancer Center ka iftitah kya. 50 beds par mushtamil iss Anchololgy Unit ko Megha Engineering Infrastructures Limited (MEIL) ne farogh diya hai jo Corporate Hospitals ke khutoot par tamam ultra modern sahulatoun se lais hai. Iss Center mein Intensive Care Unit mein 5 bistar hain jabkay mardon ke liye 12, khawateen ke liye 10 aur bachon ke liye 11 bistar rakhay gaye hain aur 12 bistaron par mushtamil Speciality Liekumiea ward bhi hai. 18,000 sft par muheet mukammal Airconditioned cancer center mein aik khusoosi Ancology Critical Care Unit (ACCU ) bhi hai. Cancer Center ki imarat ka kaam June 2017 mein shuru kya gaya tha jisay sirf aik saal ki muddat mein mukammal karliya gaya hai. MEIL hukkaam ke mutabiq saari imarat falls ceiling, LED lights se muzayyan aur, CC Cameras, Electrical Room aur aik bed lift se lais hai. ICU you mein Oxygen aur Vaccum Pressure sahoolat faraham ki gayi aur wards mein har dosray bistar ko Oxygen aur Vaccum saholaten faraham ki gayi hain. Iss imarat mein Doctors Room, Faculty Room, Store Room, Processing Room aur Staff Rooms ki bhi gunjaish rakhi gayi hai jo is Center ko kisi Cancer ke mareezon ko darpaish kisi bhi nagehani surat e haal se nimatnay ka ahal banata hai. Iss mauqa par wazeer e sehat Mr. C. Laxma Reddy, Chairman MEIL Mr. Pippi Reddy aur Co-founder & Managing Director MEIL Mr. Krishna Reddy bhi maujood thae.