Monday, April 21, 2025
HomeLatest NewsNicki Minaj ka Jeddah mein show, social media par tanqidoun ka selaab

Nicki Minaj ka Jeddah mein show, social media par tanqidoun ka selaab

Jeddah: American mutanazia glokar Nicki Minaj rawan mah Saudi arab mein apne fun ka muzahira karne wali hain, taham social media par is muamlay par ek zabardast behas jari hai. Saudi arab mein kayi dahoun se tafreeh ki sar garmion par pabandi rahi hai lekin haliya kuch arsay mein nah sirf un pabandion mein numaya narmi dekhnay mein aayi hai balkay mukhtalif maghribi glokar adakar wahan concert bhi munaqqid kar rahay hain.

Minaj apne geeton mein zo maienay aur kabhi kabhi to uryaan zabaan tak istemaal karti hain jab ke unki videos jinsi raghbat se bharpoor hoti hain. Minaj 18 July ko maghribi Saudi shehar Jeddah mein muqami saqafati festival mein shareek hongi. unhon ne apni shirkat ka elaan apne ek twitter paegham mein kiya. Saudi arab mein bain ul aqwami fankaron ki dilchaspi jode mein jari is saqafati festival mein Bartanwi mosiqaar Liam Payne  aur Steve Aoki  samait Minaj ki shirkat MTV par Nashar ki jayegi. is festival ke muntazim Robert quarke ke mutabiq, Minaj social media par bohat mutharrik hongi.

Woh Jeddah mein stage par fun ka muzahira karne se le kar apne hotel tak se mutaliq post karti nazar ayengi. ek muqami akhbar se baat cheet mein unhon ne mazeed kaha ke sab ko maloom hojayega ke Nicki Minaj Saudi arab mein utar chuki hain. Saudi arab mein alcohol par pabandi hai jab ke sakht samaji rawabit nafiz hain, taham shehzada Mohammad bin Salman ne mulk mein kayi shobo mein samaji azadi se mutaliq ahem iqdamaat uthaye hain. isi tanazur mein wahan naye cinema ghar bhi taamer ho rahay hain, concerts ka ehtimaam bhi ho raha hai aur khelon ke muqablay bhi munaqqid ho rahay hain.

Nicki Minaj ke muzahirey se mutaliq khabar Saudi arab mein nihayat taizi se phail gayi. Saudi arab ki abadi ka qareeb do tahai hissa 30 baras se kam Umar afraad par mushtamil hai, jin mein se ziyada tar afraad ne is kahbar ka khaermaqdam kiya. ek Saudi social media Sarif ne to apne ek twitter pegham mein likha, mera khawab poora hogaya. taham is khabar par sakht tanqeed bhi samnay aa rahi hai. ek Saudi social media Sarif khatoon ne twitter par apne ek video pegham mein kaha, woh ( Minaj ) tayyar hai ke apni pusht tharkaye aur is ke geet faqat jinsi raghbat se mutaliq hain. phir yahan mujhe kehte hain ke mein abaya pehnoon, yeh kya bakwaas hai? –YTN STAFF