Monday, April 21, 2025
HomeLatest NewsNewzealand Mein Banduqoun Aur Rifles Per Pabandi Ka Bill Manzoor

Newzealand Mein Banduqoun Aur Rifles Per Pabandi Ka Bill Manzoor

Auckland: Christchurch mein masajid par hue dehshat gard hamloun ke baad hathyaaroun ke istemaal ko mehdood karne ke zimn mein iqdamaat kiye gaye hain. Newzealand ki parliment ne fouji tarz ke neem khudkaar ( Semi automatic ) banduqoun aur rifles par pabandi ke bill ko Manzoor karliya .

Tafseelaat ke mutabiq bill ki manzoori ke baad umeed zahir ki jarahi hai ke aglay haftay ke awakhir tak qanoon saazi amal mein jaye gi. parliment mein khudkaar hathyaroun par pabandi ke bill ko majmui tour par dono azad khayaal aur qadamat pasand qanoon sazoon ki himayat rahi. majmoi tour par 120 qanoon sazoon ne bil ke haq mein vote diya jabkay sirf ek qanoon saaz ki janib se bil ki mukhalfat samnay aayi .

Khudkaar hathyaaron par pabandi ke liye bill par voting pehla marhala hai jabkay deegar do marahil mein kamyabi ke baad hi bill ko qanooni darja haasil hoga. wazeer police Astreit naash ne kaha ke 15 March ko  Christchurch mein bachon, khawateen sameit 50 afraad ke qatal ka saneha hum –apne mulk mein dobarah nahi dekna chahain ge aur hamein is ki rok thaam ke liye fouri qanoon saazi ki zaroorat hai. unhon ne kaha ke Newzealand mein asleha ki malkiat haq nahi balkay istehqaq ke zamray mein aata hai jabkay America mein khudkaar hathyaar rakhnay ko aaeni haq haasil hai

Bill ki mukhalifat mein vote daalnay walay qadamat pasand qanoon saaz David Semor ne kaha ke khudkar rifles se mutaliq bill jaldbazi mein paish kya jarhahe. Ayster ki chhutyoun se mehez 9 din qabal bill ki paishgi aur manzoori awaami hifazat se ziyada siyasi theatre maloom hota hai. wazeh rahay ke bil par qanoon saazi ke baad fouji tarz ke khudkaar hathyaaron jis mein magazine nasb hota hai, par pabandi aed hojaye gi. khudkaar shot gun aur pump action bandooq jis mein paanch se zayed kartoos baik waqt daaley ja satke hain, pabandi ki zad mein ajayeen gi. taham kisanoun aur shikarioun ke zair-e-istemaal. 22 caliber bandooq aur is se chhote caliber ki bandoqon par pabandi aed nahi hogi.- YTN STAFF