Monday, May 6, 2024
HomeSliderNew Zealand mein Coronavirus ke baais intikhabaat multawi

New Zealand mein Coronavirus ke baais intikhabaat multawi

Auckland: New Zealand mein Coronavirus ke naye mamlaat samnay anay ke baad wazeer-e-azam Jacinda Ardern nay mulk mein 1 mah ke liye intikhabaat multawi kar diye hain. Francesi khabar rasan idaray AFP ke mutabiq guzashta haftay Auckland mein Coronavirus ke mamlaat samnay anay ke baad wazeer-e-azam Jacinda Ardern par siyasi mukhalfin aur itihadiyon ki janib se dabao tha ke 19 September ke intikhabaat ko agay badha jaye.

Wazeer-e-azam Jacinda Ardern ne kaha ke community transmission ke baghair 102 din baad virus ki wapsi ne shehrion ko jhinjhod kar rakh diya hai. Unhoun ne kaha ke virus ka phelao kuch logon ko apna haq raye dahi istemaal karne se rokk sakta hai. Jacinda Ardern ne haftay ke aakhir mein siyasi jamaaton ke rehnumao aur intikhabi commission ke sath mushawarat ke bad intekhabat ke liye 17 October ka intikhab kiya.

Unhoun ne mazeed kaha ke tareekh ki tabdeeli ka matlab hai ke tamam fareeq un hi sharait ke sath intikhabi muhim chalayein ge aur wo soorat-e-haal se qata nazar intikhabaat ke liye dobarah tareekh agay bhi nahi karen gi. Unhoun ne kaha ke is faislay ke baad se siyasi jamaaton ke paas aglay 9 hafton ka waqt hai aur Election Commission ke paas bhi kaafi waqt hai ke wo is baat ko yakeeni banaye ke intikhabaat ko munaqqid kiya jaye.

Guzashta haftay Coronavirus ke mamlaat samnay anay ke baad tamam siyasi jamaaton nay intikhabi muhim ko earzi tor par moattal kiya tha. Auckland mein ek hi khandan ke 4 afraad mein coronavirus ki tashkis huvi thi aur ab tak Auckland mein musadeqa maalat ki tadaad 49 ho chuki hai. John Hopkins University ke adaad-o-shumaar ke mutabiq waba phelnay ke baad New Zealand mein coronavirus se 1 hazaar 631 afraad mutasir aur 1 hazaar 531 afraad sahet yab hue hain jabkay 22 amwaat hui hain.

Doosri janib duniya bhar mein coronavirus se 2 crore 16 lakh 13 hazaar 183 afraad mutasir ho chukay hain jabkay 7 lakh 74 hazaar 288 afraad halaak hue hain. America mein ab bhi deegar mumulik ki nisbat coronavirus ke mamlat ki tadaad sab se ziyada hai. America mein Coronavirus ke mutasireen 54 lakh 3 hazaar 213 jabkay amwaat 1 lakh 70 hazaar se ziyada hain. Brazil mein 33 lakh 40 hazaar se ziyada aur India mein 25 lakh 89 hazaar se ziyada afraad mutasir hue hain. Roos mein coronavirus ke mareezon ki tadaad 9 lakh 20 se ziyada hai.