Saturday, May 18, 2024
HomeSliderNew Zealand ke khilaaf Hindustan kamyabi ke liye pur azm

New Zealand ke khilaaf Hindustan kamyabi ke liye pur azm

Jummay ko dono teamoun ke darmain pehla T20, muqaabla ka aaghaz dopehar 12 :20 hoga
Oakland: Rawan baras Australia mein mujawaza twenty 20 world cup ki tayario ke aaghaz mein hindustani team kal yahan maizban New Zealand ke khilaaf 5 muqabloun ki series ka aaghaz kere gi. Hindustani team ke liye Bowlers ke liye sazgaar wicket par challenge darpaish rahay ga. Deegar bairooni daroun ke barkhilaf hindustani team ke liye ye dora fori shuru ho raha hai kyunkay New Zealand aamad ke sirf 5 dinoun mein hi team ko pehla T20 muqaabla khelna par reha hai. Jaissa ke is ne guzashta hafta hi Australia ke khilaaf Oneday series mukammal ki hai.

Hindustani team mangal ko Oakland pohanchi jis ke baad is ne charshumbe ko aaraam kiya. Jumaraat ko sirf ek din Net practice karne ke baad usay pehlay muqaabla ke liye New Zealand ke khilaaf jummay ko maidan sanbhaalna hai. Doosri janib masroof tareen schedule ki wajah se hindustani team intizamia ko khiladioun ke muzahiroun mein istiqlal ko jhanchne ka mauqa miley ga kyunkay October mein Australia mein hi Twenty 20 World khela jana hai jis ke liye hindustani Selectors team muntakhib karen ge.

Shikhar Dhawan Hardik Pandiya, Deepak Chahar aur Bhuvneshwar Kumar ke zakhmi honay ke bawajood deegar khiladioun ne khud ko milnay walay mauqa aur darpaish Challengers se behtar andaaz mein nimta hai aur khaas kar K.L Rahul ne mehdood Overs ki cricket mein hindustani mansooboun ke mutabiq shandaar muzahiray kiye hain. West Indies ke khilaaf Shikhar Dhawan ke mutabadil ke tor par shaamil kiye jaane walay Rahul ne musalsal behtar muzahira karne ke ilawa Rohit Sharma ke sath team ko behtareen shuruaat faraham ki hai.

Umeed ki jarahi hai ke Manish Pandey ba-hasiat panchwin makhsoos batsman ke team mein shaamil rahen ge. Pandiya, Ayer aur Pant tenu ne ek sath net practice ki hai lekin un ke sath Sanju Samson bhi davedaroun mein shaamil hai. Fast bowling shoba mein Mohammad Shami ,Jasprit Bumrah , aur Shardul Thakur ke darmain musabqat rahay gi.

Hindustan aur New Zealand ke darmain world cup ke Simi final ke baad ye pehla muqaabla hai jahan Hindustan ko New Zealand ke khilaaf shikast bardasht karni padi thi. New Zealand ki team ko apne ahem khiladioun ke zakhmi honay ka masla darpaish hai. New Zealand ko Trent Bold, Matt Henry aur Lockie Ferguson ke zakhmi honay ki wajah se khidmaat dastyab nahi hain jabkay Kane Williamson ka naaqis muzahira bhi tashweesh ka baais hai. –YTN STAFF