Sunday, May 19, 2024
HomeHyderabadNew Zealand dehshat hamle mein Hyderabad ka ek aur noujawan Ozair Khadir...

New Zealand dehshat hamle mein Hyderabad ka ek aur noujawan Ozair Khadir shaheed

Hyderabad:  New Zealand ki masjid par hue dehshat gard hamle mein shaheed honay waloun mein Telangana se talluq rakhnay walay ek aur fard ka izafah sun-hua hai, kyunkay New Zealand mein hindustani mission nehyderabad ke 25 sala aviation ke taalib-e-ilm ke jaan bahaq honay ki tasdeeq kar di hai.is waqea mein jaan bahaq honay walon ki New Zealand mein hindustani high commission ki janib se jari kardah fehrist mein is Hyderabadi noujawan ka naam bhi shaamil hai .

Is noujawan Ozair Khadir ka talluq noorkhan bazaar se hai jo Newzealand ke Christchurch ilaqa ki masjid al-noor mein namaz jummay ki adaigi ke liye gaye they. Wazeer-e-kharja Sushma Swaraj ko kiye gaye tweet mein New Zealand ke high commission ne ye baat batayi.

New Zealandke Christchurch ke indian social and cultural club ke mutabiq jis ne –apne Facebook page par Ozair Qadir ki tafseelaat bayan ki, kaha ke Qadir , aviation college ke taali-e- ilm they aur woh commercial pilot banna chahtay they. unke walidain Saudiarab mein rehtay hain jabkay unke dada, dadi noorkhan bazaar mein hi muqeem hain .

Is waqea ke baad se hi Qadir lapatah they taham aaj subah ki awaleen saaton mein un ke khandan ko un ke jaan bahaq honay ki ittila mili. is ittila ke sath hi un ke bhai jo pilot hain, fori tor par New Zealand ke liye rawana hogaye. is waqea mein ab tak Mohammad Imran Ahmed ( zila kareem nagar ), faraj Ahsan ( mehdipatnam, hyderabad ) aur Uzair Qadir ( noorkhan bazaar, hyderabad ) shaheed hogaye hain jabkay ek aur nojawan Ahmed Iqbal Jahangir ( Amberpet, hyderabad ) goli lagnay se shadeed zakhmi hain, woh New Zealand ke hospital mein zair-e-ilaj hain .