Monday, May 20, 2024
HomeIndiaNew India nahi purana Hindustan lotaa dijiye

New India nahi purana Hindustan lotaa dijiye

Tabrez Ansari ki mout ki Parliament mein goonj

Ranchi: Jharkhand ke Saraikela mein hujume tashadud ke zareya aik Muslim Noujawan ka qatal kar diya gaya jis se ilaqay mein mahol bohat kasheeda hain. Yeh maamla Rajya Sabha mein bhi uthaya gaya. Ewaan baala mein Oppostion Leader Ghulam Nabi Azad ney is hujume tashadud ke waqea par afsos zahir karte huwe kaha ke Jharkhand Mob lynching aur tashadud ka karkhana ban gaya hai. Har haftey wahan dalit aur Musalman maaray jatay hain. Sab ka Sath Sab ka Vikas ki ladai mein hum Narendra Modi ke sath hain, lekin usay dekhney ke liye log honey chahiye. Rajya Sabha mein Oppostion Leader Ghulam Nabi Azad ney markaz ki Modi hukoomat se mukhatib hotay huwe kaha ke mein aap se guzarish karta hoon ke aap New India ko apne paas rakhiye aur hamein apna purana Hindustan lotaa degiye. Woh Hindustan jahan mohabbat aur tahazeeb thi. Jab musalman aur Dalit mushkil mein hotay they to hindatvon ko bhi dard mehsoos hota tha. Jab koi takleef hundatvon ki nazar mein aati thi to Muslim aur Dalit un ke liye ansoo bahate they. Ghulam Nabi Azadi ney mazeed kaha ke puranay Hindustan mein nafrat, gussa ya jhutay ilzamaat nahi they. New India woh hai jahan ensaan aik dosray ke dushman hain. Aap jungle mein janwaron se nahi dareen ge, lekin aap aik colony mein insanon se dareen ge. Hamein woh Hindustan den jahan Hindu, Muslim, Sikh aur Isaai aik dosray ke liye jeetay hain.

Yaad rahay ke Jharkhand ke kharsawan zila mein hajhoom ney chori ke shak mein aik Muslim jawan ki be rehmi se pataayi ki. tafseelaat ke mutabiq yeh waqhiya 18 June ka hai jahan Muslim jawan kayi ghanton tak petta gaya aur is ke baad is ko Police ko saump diya gaya. Pitaayi ki wajah se aik muqami dawakhana mein 22 June ko Noujawan ki mout ho gayi. marney walay ki shanakht 24 saal ke Tabrez Ansari ke tor par ki gayi hai. Is waqhiye ke kayi Video Social Media par Viral ho ye hain, Jin mein se aik Video mein 1 shakhs Tabrez Ansari ko lakdi ke danday se pait raha hai. Aik dosray vVdeo mein Tabrez se jabran’ Jai Shree Ram’ aur’ Jai Hanuman’ ke naaray laganey ka hukum dey raha hai. Hajhoom ki janib pite jane ke baad 18 June ko Tabrez ko Police ko saump diya gaya tha aur woh tabhi se adalti hirasat mein tha. Is ki tabiyat bigad ney par is ko 22 June ko dawakhana muntaqil kiya gaya, jahan is ki mout ho gayi. Tabrez Ansari ki mout ke baad aik mulzim Papu Mandal ko girftar kar liya gaya. Tabrez Ansari Pune mein Weldar aur mazdoor ke tor par kaam karta tha aur apne khandan ke sath Eid mananey ke liye Jharkhnd ke Saraikela zila mein –apne gaon aaya tha. Is douran Ansari ke khandan ney is ki Shaadi bhi tey kar di thi.

18 June ki raat woh do logon ke sath Jamsheedpurr gaya tha. Jharkhand ke aik karkun Aurang Zaib Ansari ney kaha hai ke Tabrez ko nahi maloom tha ke woh do log is ko kahan le ja rahay hain. Aurang Zaib Ansari ney kaha ke Ansari ko chalaki se le jaya gaya. Ansari ke sath ke dono log bhaag khadey huwe they jabkay hajhoom ney Tabrez ko pakar liya aur is ki pitaayi shuru kar di. Is hajhoom mein se 1 shakhs ke zariye Tabrez ko yeh kehte suna ja sakta hai,’ ghar mein ghuse ga. Is Video mein Tabrez chori ke ilzamaat se inkaar kar raha hai aur keh raha hai ke un do logon ney aisa kiya aur is ko motorsaikil ke paas intezaar karne ko bola tha. Video ke aakhir mein shakhs keh raha hai, mein kuch nahi jaanta. Is par hajhoom is ko Jai Shree Ram aur Jai Hanuman ke naaray laganay ko keh rahi hai. Tabrez ke aik rishta daar maqsood aalam ney kaha hai ke unhon ney is ki (Tabrez) pataayi ki aur baad mein is ko Police ko saump diya. Is par chori ka ilzaam lagaya gaya lekin yeh firqa waranah hamla tha. Is ko petta gaya kyunkay woh Muslim tha. Unhon ney is se baar baar Jai Shree Ram aur Jai Hanuman ke naaray lagwaye. Meri maang hai ke mujrimon ko girftar kiya jaye.