Amsterdam: Netherland shehri ne 3 saal mein 33 mumalik ka safar apni blue Bandit Nami barqi car par mukammal kar liya. Wiebe Wakker ne Holland se Australia tak ka taweel safar awam ki barqi cars ke barey mein raye tabdeel karne ke liye kiya hai .
Dutch shehri Wiebe Wakker neh bijli par chalne wali gaadi mein 95 hazar KM ka safar Australia ke shehar sydney mein mukammal kiya. Wiebe Wakker umeed karte hain ke unke is amal se awam mein electric gadiyon ki ahmiyat ujagar hogi Wiebe Wakker apni The Blue Bandit barqi car ke zareya turkey, Iran , Hindustan, Myanmar, Malaysia aur Indonesia ke rastay Australia ke mashriqi shehar sydney puhanche. unhon neh teen baras ke arsay mein taqreeban 95 hazar KM ka safar mukammal kar liya .
Wiebe Wakker neh 3 baras qabal Holland se is safar ka aaghaz kiya tha. duniya bhar se logon neh un ki maali madad ki, jis ke zareya woh apni rahaish, khoraak aur gadhi ki battery charge karne ki qeemat ada karte rahay hain. Wiebe Wakker neh kaha ke mein logon ki raye badalna chahta tha taakay naqal wo harkat ke is paidaar zariye ke fawaid dekh kar log mutasir hon aur barqi gariyon ka ziyada se ziyada istemaal karen. Wiebe Wakker neh mazid kaha hai ke agar 1 shakhs duniya ke ek hissay se doosri hissay tak barqi gaadi mein safar kar sakta hai to roz maraah ke istemaal ke liye bhi yeh yaqeenan faida mand saabit hosakti hain .
Wiebe Wakker ki electric car The Blue Bandit ek martaba charging ke baad 200 KM tak ka safar tey kar sakti hai. unke mutabiq agar yeh taweel safar petrol ya diesel se chalne wali gaadi par kya jata to 6785 letter eendhan istemaal hosakta tha. Amrici maholiyati tahaffuz ki agency ke adaad wo shumaar ke mutabiq Diesel ya Gas se chalne wali car salana 4.6 metric Ton carbon dioxide gas kharij karti hai jo maholiyaat ke liye intahi nuqsandah hai.- YTN STAFF