Sunday, April 20, 2025
HomeLatest NewsNepal mein aaye tufaan mein 29 afraad halaak, aur 600 se ziyada...

Nepal mein aaye tufaan mein 29 afraad halaak, aur 600 se ziyada zakhmi

Kathmandu : Zaraye ke mutabiq Nepal mein baday paimanay par tufaan anay ki wajah se kam se kam 29 log halaak ho gay aur 600 se ziyada zakhmi hogay. 29 mahlukeen mein 28 log bada zila ke they, jabkay 1 shakhs ki mout pursa may hui thi. itwaar ke roz hawa aur  barish  ke sath tufaan naay do ziloun ko mutasir kiya tha .

Ek senior ohdedaar ke mutabiq, zakhmioun ki aksariyat barakat Bhola he feta bhurwalia ilaqa ke thi. Police ney kaha ke tufaan ney saenkdoun gharoun ko tabah kar diya, bijli ke khambay, aur buses ko nuqsaan pohanchaya. nepal ki fouj, nepal police aur deegar forces ko bachao wo raahat kaari ke liye lagaya gaya tha .

Peer ko baara mein munaqidah ek Emergency meeting mein har ek mutasireen ko 3 laakh nepali rupiye dainay ka faisla kiya gaya. sath hi ek raahat package jis mein tent, ghizai ashya, aur dawaiyyan shaamil hain dainay ka faisla kiya gaya. is beech nepali wazeer-e-aaazm KP Sharmaa Oli ney halaat ka jayizah liya .