Saturday, May 4, 2024
HomeIndiaNehru ya China nahi balkay BJP Hukumat zimme daar

Nehru ya China nahi balkay BJP Hukumat zimme daar

Hyderabad : Hindustan mein mojooda BJP aur RSS ke hukmaran Pulwama dehshatgard hamley ke Master mind aur dehshatgard Masood Azhar mutaliq gandi siyasat kar rahay hain aur usay Nehru aur China ki wajah bata rahay hain halanke hamein yeh nahi bhoolna chahiye ke jis waqt Masood Azhar ko ghair mashroot tareeqa par raha kiya gaya tha is waqt 1999 Atal Bihari Vajpayee ki Hukumat  thi. Yeh hi woh BJP ki Hukumat thi jis ney kayi masoom logon ko mout ke ghaat utaarney walay Masood Azhar ko nayee zindagi di.

Indian Air Lines ke tayyarey 814 ka woh waqhiya aaj bhi zehnon mein taaza hai jis ko High Jack karte huwe Masood Azhar ki rihayi ka darama anjaam diya gaya hai aur yeh Atal Bihari Vajpayee ki Hukumat  mein hi paish anay wala waqhiya hai. Decemeber 1999 ko Indian Airlines ka tayyarah number 814 jo ke Kathmandu se Nepal ke rastay Dehli aa raha tha usay Afghanistan ke maqam Qandhar mein High Jack kar liya gaya tha. Hindustan  ki tareekh mein yeh waqhiya kon bhool sakta hai jab aik tayyaray mein sawaar musafiron ki rihayi ke liye Hindustan mein Vajpayee ki Hukumat  ney Masood Azhar jaisay dehshatgard ko ghair mashroot tariqhe se riha kar diya tha.

Yeh wohi shakhs hai jis ko 2001 mein Parliament par hamlay, 2008 mein Mumbai dehshatgard hamlon aur 2016 mein Pathankot ke Air Force hamlay ka qusurvaar mana jata hai aur haan yeh bhi ke haliya dinon mein Pulwama mein jo dehshat gard hamla huwa is ke peechay bhi isi shakhs ka haath hai lekin RSS aur BJP Hukumat  usay Nehru aur China ki karstani batatay hain is zimn mein Arun Jaitley ka haliya daawa safaid jhoot se kuch kam nahi jis mein woh khete hain ke security council ki nashist ke talluk se Nehru ney China ki himayat ki thi jis ki wajah se aisay halaat huwe hain.

Arun Jaitley ko chahiye ke woh tareekh ka durust mutaliya karen aur Mulk ko yeh batayen ke kis terha Masood Azhar ko Intelligence Agency ney Congress Hukumat  mein 1994 ko girftar kiya tha lekin baad mein 1999 mein Atal Bihari Vajpayee ki Hukumat  ney ghair mashroot muzakiraat par usay riha kar diya. Masood Azhar ko jis waqt ghair mashroot tareeqay se riha kar diya gaya tha is waqt Hindustan  mein RSS ke nazriaat aur Leadron ki Hukumat  thi aur 1999 mein Atal Bihari Vajpayee is ki qiyadat kar rahay they aur is Hukumat  ney dehshatgard ko tufataan is ke qabeeley ke hawalay kardiya jis ney Hindustani fouj ke kayi Sipahiyon aur Aam Shehrion ka qatal kya hai.

Yeh wahi Masood Azhar hai jo hindustani Kashmir mein daakhil honey ke ilawa 1990 se leker 1994 tak Waadi e Kashmir mein Aman o Amaan ki sorat e haal bigar raha tha lekin Congress Hukumat  mein Intelligence Agency ki kamyabi ki badolat usay girftar karte huwe Court Bilwaal Jail muntaqil kardiya gaya tha. Jammu mein is ki qaid ke douran is par muqadma bhi chalaya ja raha tha umeed thi ke usay phansi di jaye gi lekin heran kun tor par Christmas ke mauqa yani 24 Decemeber 1999 ko Indian Air Lines ke tayyaray ko High Jack kiya gaya aur is ke badlay dehshatgard Masood Azhar ke hamrah deegar do dehshat gardon ko riha kiya gaya tha. Masood Azhar ke sath jo deegar do dehshat gard riha kiye gaye they woh Ahmed Umar Sayeed Shaikh aur Mushtaq Ahmed Zarkhastha. Yeh wohi afraad hain jinhon ney Waadi e Kashmir mein senkdoon logon ko mout ki neend sulaa yi hai lekin Jaish e Mohammad jaisi tanzeem ke mutalba par inhen ghair mashroot tareeqay se riha kardiya gaya.

Un dehshatgardon ki rihayi ka tareeqa kar bhi kisi Filmi kahani se kam nahi kyunkay inhen Court Bilwal Jail se aik khusoosi tayyaray ke zariye taliban ke zair Iqtidaar Qandar le jaya gaya. Un dehshatgardon ke sath is waqt ke Wazir e Kharja Jaswant Singh bhi mojood they jo ke RSS ke pasandeeda qaideen mein shumaar kiye jatay hain is dehshatgard ki rihayi ke badlay 31 Decemeber ko High Jack tayyaray ke musafeern ko bhi rihayi mili thi lekin haqeeqat yeh bhi hai ke is waqt National Security Advisors Ajit Doval jo is waqt Intelligence Bureau ke Sadar bhi they, un ki sadarat mein chaar rukni Hindustani Team ney Qaandar pahonch kar dehshatgardon se tabadlah khayaal kiya tha.

Ab BJP Hukumat China ko moorid ilzaam tehrate huwe usay Masood Azhar ki taied karne ka ilzaam day rahay hain lekin Jaitley ke bayan se qata nazar haqayiq ko agar dekhen to Nehru aur China ki mukhalfat se ziyada Modi Hukumat China ki dosti mein koi kami aur kasar nahi chode rahi hai kyunkay agar waqai Hindustan  ko China se ehtijaj karna hota to woh bhi Bejing se apne hindustani numaindon ko Mulk wapas talabb karta tha lekin is ke baraks Hindustani Wazeer e Azam Narendra Modi mukhtalif maqamat par China ke Saddar se nah sirf mulaqaat kar rahay hain balkay dostana taluqaat bhi barqarar rakhay huwe hain .

Masood Azhar ke muamlay par agar Hindustan  ko China  se ikhtilaaf hota to BJP Hukumat  Bejing ke naam apna ehtijaj rawana karta ya maktoob likhte huwe usay intebah deta lekin is ke baraks to BJP Hukumat China ke sath apne taluqaat ko mazeed mustahkam karne mein masroof hai. Duniya ka taweel tareen mujasma jo ke Statue of Unity ke naam se mashhoor hai aur is mujasmay sardar Patel ki tayari Hindustan mein nahi balkay usay tayyar karne mein China ki madad haasil ki gayi hai.

China jo ke Hindustani sarhad mein senkron mil par qabza kar chuka hai lekin is ke khilaaf Modi Hukumat  koi ehtijaj nahi karti June . 2017 mein China ney maansarwar ke aqeedat mandoon ko roka tha. China se lafzi mukhilfat aur haqeeqat mein is ke sath tijarti taluqaat ka andaza is baat se bhi lagaya ja sakta hai ke Modi Hukumat  Pait Yoga Project ke liye China se lakhoon qaleen khareed raha hai is ke baraks Nehru woh shakhs they jinhon ney 1962 mein China ke khilaaf jung ladi thi lekin Modi Hukumat  Nehru ko China ka himayati qarar deti hai halaank Modi Hukumat  khud China ki Dur angazi ke khilaaf ehtijaj nahi karti balkay is ke sath tijarti taluqaat ko barqarar rakhtay huwe khud ko Hub Ul Watan ke tor par paish kar rahi hai.