Tuesday, May 21, 2024
HomeSliderNehru Stadium se sachin ki yadgar ashiya ghayab

Nehru Stadium se sachin ki yadgar ashiya ghayab

kochi: Kerala ke shehar kochi mein Jawaharlal nehru international stadium ke sachin pavellion ki haalat kharab hai aur cricket ke legend sachin tendulkar ki kayi yadgar ashiya yahan se ghayab hogayi hain.

Sachin pavellion ka iftitah 20 November 2013 ko is waqt ke hindustani cricket captain MS Dhoni ne kiya tha. sachin ne is pavellion ko jersey, apna dastakhat shuda bat aur iski istemaal shuda gend tohfay mein di theen.

Sachin par pavellion Kerala cricket association aur greater kochi development authority ki mushtarqa pehal thi. stadium greater kochi development authority ki milkiat hai. ye pavellion ek hazaar murabba foot par phela hua hai aur is mein sachin ki mutadid tasaveer hain jin mein master blaster ke sir don bradmon aur west indies ke Brian Lara shaamil hain. is pavellion mein sachin ki bachpan ki tasaveer bhi shaamil hain.

Is stadium mein ISL( ISL) ki team kerala blasters FC ka gharelo maidan hai. kerala cricket association ne greater kochi development authority ko mustaqbil mein bain ul aqwami matchon ki maizbani ke liye khat likha hai.

2014 mein ISL ke aaghaz ke baad nehru stadium ne kisi bhi bain ul aqwami cricket match ki maizbani nahi ki hai. is ground mein aakhri bain ul aqwami cricket match 8 october 2014 ko hindustan aur west indies ke mabain ODI match tha. BCCI ke joint secretary Jaish george ne stadium ki kharab haalat par haerat ka izhar kiya. –YTN STAFF