New Delhi: Wazer-e-Azam Narendra Modi ab yeh daawa kar rahay hain ke BJP 2019 ke lok sabha intikhabaat mein 2014 ke bar aks ziyada aksariyat se kamyabi haasil kare gi aur NDA ko is intikhab mein 300 se zayed nishistein milein gi. Wazer-e-Azam ko yaqeen hai ke is martaba BJP 2014 ke muqablay badi aksariyat ke sath Iqtidaar mein aaye gi. oppostion ke mutaliq inka khayaal hai ke 2024 mein ek mazboot oppostion ho lekin 2019 mein aisa nahi hai. mulk ne hamein Iqtidaar mein laane ka mann bana liya hai .
Modi ne oppostion Mahagathbandhan par kaha ke mulk ke log ittehaad ke khilaaf nahi hain lekin woh mustahkam hukoomat chahtay hain. Mahagathbandhan 2014 ke muqablay mazeed phail gaya hai. mulk ke log mukammal aksariyat ke sath hukoomat ka mutalba kar rahay hain. NDA ko is intikhab mein 300 se zayed nishistein haasil hongi. Wazer-e-Azam ka maanna hai ke awam samajh gaye hain ke BJP mulk ki taraqqi mein kis terhan madad kar sakti hai. hum ne guzashta 5 saal mein jo bhi kamyabi se kaam kiye, yeh hum par aetmaad rakhnay walay Hindustaniyoun ki wajah se mumkin ho saka . –YTN STAFF