Thursday, May 16, 2024
HomeIndiaNDA aur na he UPA : Mamata

NDA aur na he UPA : Mamata

Kolkata : Hindustan mein is waqt BJP ya congress ki Zaire-e-qayadat hukoomat ki tashkeel ka mauzo garam hai lekin Mamata Banerjee ka khayaal kuch aur hi hai. Mamata Banerjee nay kaha ke markaz mein NDA aur UPA mein se kisi ki bhi hukoomat nahi banay gi balkay federal front ki hukoomat banay gi .

Mamata Banerjee nay apne ek  khusoosi interview mein kaha ke NDA ko aksariyat nahi milnay wali hai. UPA ko to aksariyat milnay ka sawal hi peda nahi hota hai lehaza federal front ki hukoomat ki banay gi aur un dono ittehaad se bhi kayi partiyan is mein shaamil hongi aur woh kayi partiyon ke raabtey mein hain .

Lok Sabha intikhabaat ke douran intikhabi taqriroun se mutaliq chief minister bangal nay kaha ke yeh assembly intikhab nahi hai balkay lok sabha intikhabaat hain is liye masail qaumi masail par mushtamil hain. Modi hukoomat nay guzashta 5 barson mein apne ek  bhi waday ko mukammal nahi kiya    hai. yahi hamara asal mauzo hai. hum ney bangal mein baday pemanay par kaam kiye hain. mulk  mein hum ek  aisi jamaat hain jis ney intikhabi manshoor mein kiye gaye har ek  waday ko mukammal kiya hai .

Mamata Banerjee ney kaha ke Modi  hukoomat ney kisanon ke liye kuch bhi nahi kiya    hai. guzashta 5 saal mein 12 hazar kisanoun ney khudkushi ki hai. jab ke bangal mein kisanon ki aamdani mein dugna izafah hua hai. Modi jee sirf baten karte hain jaisa ke unhon ney 2022 tak  kisanon ki aamdani mein dugna izafah karne ka wada kiya  hai lekin bangal mein hum ney kardiya hai. hum ney Khojna tax ko khatam kardiya hai. hum apne kisaan bhaieyon ko 5000 hazaar rupay allowence dete hain. is ke alawa muft mein Insurance dete hain. 60 saal ki kam Umar mein marjane walay kisanon ko hum dolakh rupay Insurance ke tor par dete hain. lekin Modi jee ney kuch bhi nahi kiya. Mamta Banerjee ney kaha ke lok sabha intikhabaat mein dosra bada masla be rozgari hai. guzashta 45 barson mein sab se onche satah par be rozgari hai. Modi   ney 5 saal mein 10 Crores rozgaar dainay ka wada kiya  tha lekin rozgar dainay ke bajaye unhon ney rozgaar cheen liye hain. note bandi ney hindustani maeeshat ko tabah kardiya hai. chhootey karo Bariyoun ki haalat kharab hogayi hai. sanaten band honay ki wajah se Crores afraad be rozgaar hue hain .- YTN STAFF