Sunday, April 20, 2025
HomeIndiaNaye Taleemi Saal Ka Aaghaz, Dusween Jamaat Ka Nisaab 10th January 2020...

Naye Taleemi Saal Ka Aaghaz, Dusween Jamaat Ka Nisaab 10th January 2020 Tak Mukammal Karne Ki Hidaayat

Hyderabad: Garmayi tatilat ke baad riyasat-e-Telangana mein taleemi saal ka aaghaz hochuka hai aur aaj subah muhallay, galiyo aur shehroun mein taleemi saal ke aaghaz par talba ko schooloun ki simt jatay hue dekha gaya hai jab ke taleemi shobay ki janib se saal 20-2019 ke liye taleemi calendar jari kardiya gaya hai jis ke tehat aindah taleemi saal ke liye tamam masrofiyat aur tatilat ki tafseelaat bhi jari kar di gayi hain. tafseelaat ke mutabiq is saal Dusehra ki tatilat mein izafah kiya gaya hai jaisa ke guzashta taleemi saal yeh tatilat 13 dinoun ki theen lekin is martaba is mein izafah karte hue usay 16 dinoun ki tatilat mein tabdeel kardiya gaya hai jo ke 28 September taa 13 october muqarrar hui hain. isi tarhan  sankarati ki tatilat mein 11 January 2020 taa 16 January 2020 ko muqarrar ki gayi hain jo ke 6 dinoun ki tatilat hain halaanke guzashta baras yeh tadaad 7 din ki thi. Alawa-e-azeen Christmas ki tatilat bhi is saal saat dinon ki muqarrar ki gayi hain jo ke 22 taa 28 decemeber ko muqarrar ki gayi hain.

Mehakma taleem ki janib se jo taleemi calendar jari kiya gaya hai is ke tehat jahan schooloun ka 12 June ko aaghaz hua hai woh 232 dinoun ki khidmaat anjaam dainay ke baad 23 april 2020 ko ekhtataam Pazeer honge jis ke baad 24 April taa 11 June 2020 garmayi tatilat hongi. taleemi calendar ki  dasvin jamaat ka nisaab 10 January 2020 tak mukammal kar diya jana chahiye jis ke baad  final imtehanat 29 feb 2019 ko mukammal kar liye jayen. SSC ke imtehanat March 2019 mein munaqqid kiye jayenge.

Deegar jamaatoun ke nisaab ki jo tafseelaat jari ki gayi hain is mein pehli taa jamaat nhm ka nisaab 29 feb 2020 tak mukammal karne ki hidaayat di gayi hai. taleemi ayaam mein talba ki haazri ko yakeeni bananay ke liye sakht Hidayat di gayi hain aur mutalba kiya gaya hai ke sarkari schoolon mein bhi talba ki 90 feesad haazri ko yaqeeni banaya jaye. is ke alawa woh schooloun ke dakhli imtehanat aur aur Assignments ko bhi muqarara waqt par munaqqid karne aur inhen yaqeeni bananay ka schedule bhi jari kardiya gaya hai . –YTN STAFF