Hyderabad: Haliya chand barsoun ke douran mutadid companiyoun ne apne naye Smartphones ke sath mukhtalif cheezian jaisay Earphones ya Headphones Dongle dainay band kardiye hain lekin ab suneney mein aaraha hai ke dabbay mein phone charger ko nikaalne par bhi faisla karliya hai. Kuch din pehlay aisi khabar samnay aayi thi ke Apple ki janib se iPhone 12 mein muft charger nah dainay par ghhor shuru kardiya hai aur wo sarfeen ko allag se khareedna pade ga. Ab Korean Site ET News ke mutabiq Samsung bhi aglay se saal kuch aisa hi karne ki mansoobah bandi kar raha hai.
Report ke mutabiq Phone ke dabbay se charger ko nikaalne se company ko 5G Technology ke badhatay akhrajaat mein kuch kami laane mein madad mil sakay gi. Companiyoun ke khayaal mein logoun ke paas pehlay hi gharoun mein mutadid fa-aal chargers mojood hotay hain khasosan USBC aur lightning Cables bohat ziyada aam hain. Phone ke daboun se Chargers ko nikaalne se Samsung aur Apple ko kti bachat hogi, Ye to wazeh nahi lekin phone ke dabbay zaroor chhootay ho jaien ge.
Mahireen ke khayaal mein is terhan maholiyati aloodgi ko bhi kisi hadd tak kiya jasakay ga kyunkay aisay charges ki tadaad mein kami aeye gi jin ko loog gharoun mein pheink dete hain.
Magar ye iqdaam beshtar sarfeen ko pasand nahi aeye ga kyunkay companian un se charger ke allag pesey len gi. Companiyoun ke apne charger kaafi mehngay hotay hain aur sarfeen is ke nateejay mein aksar kam qeemat mutabadil ko tarjeeh dete hain lekin un ka miyaar naaqis honay se phone ki charging mutasir hoti hai jabkay phone ko nuqsaan pounchanay ka khadsha bhi hota hai.