Thursday, May 16, 2024
HomeSliderNaye sadar Azharuddin se Hyderabadi noujawan Cricketers ki umeedein wabasta

Naye sadar Azharuddin se Hyderabadi noujawan Cricketers ki umeedein wabasta

Hyderabad : Hindustani cricket team ke sabiq captain Azharuddin ke liye aaj ek nai inning ka aaghaz hua jaisa ke woh Hyderabad Cricket Association ( HCA ) ke sadar muntakhib hue hain. HCA ke saddar ke liye aaj ( 27 September 2019 ) intikhabaat munaqqid hue they jahan Azharuddin ne apne hareef parkash chand jain ke khilaaf shandaar kamyabi haasil ki.

Azharuddin ko sadarti intikhabaat mein jahan 173 vote haasil hue wahein unke hareef prkash ko sirf 73 vote hi haasil hue hain. Azharuddin ke liye yeh kamyabi cricket intizamia mein dakhla ki seedhi saabit hui hai. 56 sala hindustani cricket team ke sabiq captain Azharuddin jinhon ne 99 test aur 334 ODI muqablon mein Hindustan ki numaindagi ki hai, unhon ne guzishta martaba bhi HCA ke sadar ke liye parcha namzadgi daakhil ki thi lekin spot fixing tanaza ki wajah se inhen sadaarti intikhabaat ke liye na-ahal qarar diya gaya tha.

Muradabad ke sabiq rukan-e-parliament Azharuddin ke naam test cricket mein mutawatar teen centuries score karne ka munfarid record honay ke alawa unhon ne England , Srilanka aur Zimbabwe ke khilaaf 1990 ke dahe mein gharelo seasons mein team ko futuhat dilwai thi.

Apne waqt ke behtareen batsman aur kamiyab tareen captains mein shumaar honay walay Azharuddin ke HCA ke sadar muntakhib honay ke baad Hyderabadi cricket mein mazeed taraqqi ki umeed ki jarahi hai. doosri janib Hyderabadi awam ko HCA ke naye sadar aur Hindustan ke sabiq captain Azharuddin se umeeden wabsta hain.

Hyderabad se waisay to haliya dinon mein, fast bowler Mohammad Siraj ke alawa hyderabad se ubhartay of spinner Khaja Mudassir Ahmed ne apni salahiyaton ko Manwaya hai taham IPL sameit kayi ek ahem tournaments mein Hyderabadi khiladion ki ziyada numaindagi na honay se nojawan Cricketers mein ek qisam ki mayoosi payi jati thi lekin aaj jaisay hi Azharuddin ke sadar ban’nay ki khabar phelnay lagi to Hyderabadi awam mein khushi ki lehar daudh gayi aur crickete halqoun ke alawa ubhartay nojawan khiladion ke sarparastoun aur walidain ke darmiyan mein bhi Azharuddin ke sadar ban’nay aur Hyderabadi cricket ke taraqqi karne ke mozuaat sab se ahem rahay.

Hyderabad se taluq rakhnay walay noujawan aur ba-salahiyat Cricketers ne is umeed ka izhaar kiya hai ke hai ke Azharuddin ko chounke bain ul aqwami cricket ka wasee tajurbah hai lehaza woh ba-salahiyat khiladion ko under 15, under 19 aur A team ke alawa IPL mein bhi Hyderabadi khiladion ki numaindagi ki rahein hamwar karenge. Azharuddin ne sadar ban’nay ke baad yeh umeed ki jarahi hai ke ab Hyderabadi cricket duniya ek nai taraqqi ki simt gamzan hogi. –YTN STAFF