Algeria: Algeria ke intikhabaat ke nataij ke elaan ke baad ek nai tabdeeli ki umeed ki jarahi hai jaissa ke Al-jaizair election commission ke mutabiq sabiq wazeer-e-azam Abdelmadjid Tebboune 58 feesad vote haasil karkay sadaarti intikhab mein kamyaab ho gaye hain. Al-jaizair election commission ke chairman Mohammad Sharfi ne elaan kiya ke Abdelmadjid Tebboune ko sab se ziyada 58.15 feesad vote miley hain. 74 sala Abdelmadjid Tebboune ko 49 Lakh 45 hazaar 116 vote haasil kiye. Dosray number par Abdelkader Bengrina rahay unhoun ne kal voton ka 17.38 feesad haasil kiya. Sadaarti intikhab ke nataij ka faisla pehlay hi marhalay mein hi hogaya. Ab dosray marhalay ki zaroorat nahi rahay gi.
Teesray number par Ali Benflis rahay inhen sirf 10.55 feesad vote mil sakay. Bouteflika ke hareef ke tor par 2014 mein jitne vote miley they is martaba is se kam vote pade. Ali Benflis ne 2014 mein 12 feesad se ziyada vote haasil liye they. Chouthay number par Azzedine Mihoubi rahay. Inhen 7.26 feesad vote miley. Abdelaziz Belaid 6.66 feesad vote le kar panchwin number par rahay. Election commission ke chairman ne press conference mein kaha ke 24 million 4 Lakh 74 hazaar 161 voters ne voting mein hissa liya. Un mein se 9 Lakh 14 hazaar 308 ne beroun mulk vote daaley. Androon mulk voting ka tanasub 41.13 feesad raha. Majmoi tor par 97 Lakh 37 hazaar shehrioun ne vote daaley. Voting ka majmoi tanasub 39.83 feesad record kiya gaya.
Darin asna sadrarti intikhab mein kamyabi par twitter par Abdelmadjid Tebboune ne kaha hai mulk mein tabdeeli layein ge. Vote dainay walay tamam Al-jaizair awam ka shukar guzaar hon. Awam se appeal karta hon ke wo ankhen khuli rakhen aur mulk ke sipahi ka kirdarada karen taakay sab mil kar naya Al-jaizair taamer kar saken. RT aur Sky news ke mutabiq intikhabaat ke nataij ka elaan hotay hi hazaroun Al-jaizair shehri sadkoun par nikal aeye. Dar-ul-hukoomat sameit mulk ke mutadid shehroun mein zabardast muzahiray ho rahay hain. Muzahireen Bouteflika ke daur ki tamam alamatoun se mulk ko pak karne ka mutalba kar rahay hain. Muzahireen ne intikhabi nataij ko mustard karte hue kaha Bouteflika aur Tebboune ek hi sakay ke do rukh hain. Ehtijaj band nahi karen ge.
Yaad rahay ke Abdelmadjid Tebboune 1945 mein Al-jaizair ke maghribi soobay Al Naama mein peda huve. 1965 mein national managment school se taleem haasil ki. Siyasi, parliamani aur wazarti ohdoun par faiz rahay. 1991 mein pehli martaba wazeer banaye gaye. Inhen baldeati counsel ka wazeer muqarrar kiya gaya taham 1992 mein unhoun ne ye mansab chode diya.
Tebboune sabiq sadar Abdalaziz Bouteflika ke ehad mein hukoomat mein shaamil rahay. 1999 aur 2000 mein wizarat saqafat-o-rabita jaat ke wazeer banay. 2000 se 2001 ke douran baldeati Counsel ke wazeer banaye gaye. 2001 se 2002 ke darmain abad kaari-o-mansoobah bandi ke wazeer rahay. 10 baras baad 2012 mai Tebboune Abdelmalek Sellal ki hukoomat mein wazeer abad kaari banay. May 2017 ke parliamani intikhabaat ke baad Bouteflika ne Tebboune ko Sellal ka janasheen banaya. Ye faisla Al-jazaer ke siyasi halqoun ke liye ghair mutawaqqa tha.
Abdelmadjid Tebboune sirf 3 mah tak mulk ke wazeer-e-azam rahay. Bouteflika ne inhen bartaraf karkay 15 August 2017 ko Ahmed Ouyahia ko wazeer-e-azam banadiya tha. No muntakhib sadar ne apne intikhabi manshoor mein jamhoriat ke farogh, Sahaafat ki azaadi, Khawateen ko apne qadmoun par khada karne, Mulk mein ahem islahat aur aeen par wasee al-bunyad nazar sani ka wada kiya hai. –YTN STAFF