Friday, April 26, 2024
HomeSliderNaye saal ke mauqa par Telangana mein 380 crore rupiye ki sharaab...

Naye saal ke mauqa par Telangana mein 380 crore rupiye ki sharaab farokht ki gayi

Hyderabad: Telangana riyasat mein Tipplers aur naye saal ki wajah pichlle 2 dinoun ke douran, Riyasat bhar mein 380 crore rupiye maliyat ki sharaab farokht ki gayi, Charshumbe ke roz hakkaam ne ye baat batayi. 30 decemeber aur 31 decemeber ko taqriban 200 crore rupiye qeemat ki sharaab ke sath Boozers  aur revelers ne owsatan 60 crore rupiye ki sharaab farokht ki.

Reyasti mehakma abkari Excise ke ohdedaroun ne bataya ke riyasat mein sharaab ki sab se ziyada farokht Ranga Reddy, Hyderabad aur Medchal ke mulhiqa azlaa mein record ki gayi. 31 December aur yakam January ki raat ko riyasat mein 3000 se zayed afraad par nashay mein Driving karne ka muqadma darj kiya gaya. Aur kal 3,148 Motor Cycloun ko tashweesh-naak haalat mein gaadi chalanay par chalaan jari kiye gaye. Traffic police ki janib se 239 maqamat par khusoosi muhim chillatay hue is terhan ke waqeaat ka pata chalaya gaya.

Hyderabad aur is ke aas paas ki police ne sharaab pi kar Driving karne ke 2 hazaar se zayed muqadmaat darj kiye, Jabkay Hyderabad police commissionerate ki hudood mein 951 muqadmaat darj kiye gaye, Jabkay 873 afraad par Cyberabad commissionerate mein muqadma darj kiya gaya, Bashmool Information Technology aur is ke muzafat ke markaz bhi shaamil hain. Rachakonda  police commissionerate  mein 281 khilaaf warzi ki ittila mili hai.

Reyasti hukoomat ne naye saal ki taqrebaat ke liye sharaab ki dukanoun aur Baar ke auqaat mein narmi kardi. Aur inhen 31 decemeber aur yakam January ki raat 1 bajey tak sharaab farokht karne ki ijazat di gayi thi.

Haliya qeematoun mein izafay ke bawajood sharaab ki farokht mein kaafi uchaal huva. Hukoomat ne naye saal se qabal sharaab ki qeematoun mein 10 feesad izafah kiya tha. Tawaqqa ki ja rahi hai ke rawan maali saal ke douran sharaab se 20,000 crore rupay tak kol aamdani badhaane ke liye 300 se 400 crore rupiye ki ziyada aamdani mutawaqqa hai.

Sharaab riyasat ke liye aamdani ka sab se bada zareya hai. Oppostion jamaatoun ne Telangana  Rashtra Samithi  ( TRS) ki hukoomat ko sharaab ki be qaida farokht par tanqeed ka nishana banaya hai, Aur kaha ke is se khawateen ke khilaaf juraim mein izafah horaha hai. November mein Hyderabad ke nazdeek ek khatoon Dr ki ijtimai esmatdari aur qatal ke baad, Oppostion jamaatoun ne hukoomat se mutalba kiya ke wo’ Alcohol “ ki azadana farokht ki rokk thaam kere. BJP ki khatoon rehnuma D.K. Aruna ne riyasat mein sharaab par pabandi ka mutalba karte hue bhook hadtaal kiya tha. –YTN STAFF