Friday, May 3, 2024
HomeIndiaNaye saal ka tohfa, commercial gas cylinder ki qeematon mein izafah

Naye saal ka tohfa, commercial gas cylinder ki qeematon mein izafah

New Delhi: Naye saal 2021 ki aamad ke sath hi Modi hukoomat ne maali bojh ke sath awam ko tohfa diya hai kyunkay gas cylinder ki qeematon mein izafah kardiya gaya hai.

Oil marketing companiyon ne naye saal ke pehlay din jummay ke roz commercial gas cylinder sarfeen ko dhaka diya hai jis se mulk ke chaar bade metro shehroun mein 19 kilo walay gas cylinder ki qeemat 16. 50 rupay se badh kar 22.50 rupay hogayi hai. Taham LPG ke subsidy walay slndron ki qeematon mein koi izafah nahi kiya gaya hai .

Indian oil ke mutabiq Dehli mein aaj se 19 kilo wazni commercial istemaal wala cylinder 1332 rupay se badh kar 1349 rupay hogaya hai. Dehli mein 14. 2 Kilo subsidy walay LPG cylinder ki qeemat 694 rupay hai. is ki qeemat Calcutta mein 720.50 rupay, Mumbai mein 694 rupay aur chinayi mein 710 rupay hai. 15 decemeber ko subsidy walay LPG cylinder mein 50 rupay ka izafah kiya gaya tha.

Kolkata mein commercial istemaal wala 19 kilograme wala cylinder 22.50 rupay izafay ke baad 1387. 50 rupay se 1410 rupay hogaya hai. Mumbai mein yeh 17 rupay mehanga hokar 1280. 50 rupay se 1297. 50 rupay hogaya hai. Chennai mein iski qeemat mein 16.50 rupay ka izafah hua hai aur yeh ab 1446.50 rupay se badhkar 1463. 50 rupay hogaya hai.

Hukoomat ek saal mein 14. 2 kilogram wala subsidy wala 12 cylinder muhayya karti hai. sarfeen ko is se ziyada lainay ke liye market ki qeemat ada karna padtee hai. gas cylinder ki qeemat har mah tabdeel hoti rehti hai .

4 badey metro mein 19 kilogram cylinder ki nai qeemat is terhan hai. Delhi : 1349. 00, Calcutta : 1410. 00, Mumbai : 1297. 50, Chennai : 1463. 50. is ke alawa 4 badey metro shehroun mein subsidy walay 14. 2 Kilo gas cylinder ki qeemat, Dehli : 694. 00, Calcutta : 720. 50, Mumbai : 694. 00, Chennai : 710. 00.