Friday, May 17, 2024
HomeLatest NewsNaya Grand Slam Champion, Thiem aur Zverev ke darmain Final

Naya Grand Slam Champion, Thiem aur Zverev ke darmain Final

New York: Tennis duniya ko Grand Slam mehdanon mein is martaba yakeeni tor par ek naya Champion miley ga kyunkay corona ki wajah difai Champion Rafael Nadal, Zakhmi honay ki wajah se Roger Federer aur muqablay mein ghalti karne ke baad na ahal qarar diye jaany walay Novak Djokovic ki Adam mojoodgi ney yeh mauqa faraham kardiya hai. Austria ke Dominic Thiem aur panchwin set Germany ke Alexander Zverev Semifinal mein apne muqablay jeet kar saal ke aakhri Grand Slam US Open ke final mein poanch gaye jahan khitabi muqablay mein un dono khiladi ke muqablay se Tournament ko naya champion melega, Mardon ke zamray mein khitaab ke mazboot dawaydaar Thiem nay teesray darjah ke khiladi Roos ke Daniil Medvedev ko 2 ghante 56 minute taweel muqablay mein 6-2, 7-6, 7-6 se shikast day final mein jagah banai. Thiem pehli baar US Open ke final mein puhanche hain. Is se qabal woh 3 baar kisi Grand Slam ke final mein puhanche hain lekin khitaab kabhi nahi jeet sakay.

Thiem ka Champion ban’nay ka khawab 2018 aur 2019 mein French open ke final mein Rafael Nadal ke khilaaf shikast se toot gaya tha, Jabkay is saal ke shuru mein Australian open ke final mein pehlay number ke Serbia ke Novak Djokovic ke khilaaf inhen shikast ka saamna karna pada tha. Thiem is martaba apne career ka pehla Grand Slam jeetna chahain ge. Medvedev  pehlay set mein Thiem ke khilaaf koi challenge pesh nahi kar sakay. Aakhri ke dono sets mein unhoun nay Thiem ko sakht challenge dainay ki koshish ki lekin wo kamyaab nahi hosakay . Medvedev  guzashta saal US Open ke final mein puhanche they lekin Rafael Nadal se shikast ka saamna karna pada tha. Thiem ney Zverev ke khilaaf khitabi match ke barey mein kaha yeh khula muqaabla honay wala hai aur mein is ke liye tayyar hon. ”Ham ek achay dost ke sath sath ek sakht hareef bhi hain. Grand Slam final mein un ke khilaaf khelna dilchasp hoga.

Ek aur Semifinal mein Zverev neh 20 we set Spain ke Pablo Carreño Busta ko 3 ghantay 23 minute ke match mein shikast di. Zverev pehli martaba kisi Grand slam ke final mein puhanche hain. Zverev ko ab final mein Thiem ke challenge ka saamna karna pade ga. Un dono khiladion ke khitabi muqablay ke 6 saal baad yeh pehla mauqa hoga jab US open apna naya Champion haasil kere ga. Zverev neh kaha mein apne career ka pehla Grand Slam final khailnay ja raha hon jo mere liye kaafi ahem hai. Mujhe maloom tha ke mujhe achcha khelna hoga. Pehla 2 set gunwanay ke baad pehli martaba aisa huwa hai jab mein ney wapsi ki hai. Yeh mere career mein pehli martaba huwa hai aur mujhe khushi hai ke mein kisi Grand slam ke Semifinal mein aisa kar saka. Mein khitaab se sirf ek qadam daur hon.