Sunday, May 19, 2024
HomeSliderNATO ke sarbarahi ijlaas mein aalmi rehnumao ne Trump ko banaya mazaaq...

NATO ke sarbarahi ijlaas mein aalmi rehnumao ne Trump ko banaya mazaaq ka mauzo

New Dehli: Americi sadar Donald Trump, London mein NATO ke kuch rehnumao ke darmain baat cheet ke douran mazaq ban kar reh gay. Ye maamla is waqt manzar aam par aaya, Jab is ka ek video manzar aam par agaya. Jis mein Bartania ke wazeer-e-aazam Boris Johnson, Canada ke wazeer-e-aazam Justin Trudeau aur France ke sadar Emmanuel Macron, Mangal ki shaam  Buckingham palace mein munaqidah ek taqreeb mein shareek dikhayi day rahay hain. Jo Americi sadar Donald Trump ka mazaq udatay nazar arhay hain.

Darasal, Un rehnumao ne NATO ijlaas ke douran media ke sath Donald Trump ki taweel baat cheet ki aadat ka mazaq uraya. Video mein Bartania ke wazeer-e-aazam Johnson, Francesi sadar Emmanuel Macron se pooch rahay hain ”Kiya wo der se aeye hain? Is ke fori bad Canada ke wazeer-e-aazam Justin Trudeau  kehte hain ”Oh is liye der kar chuke they ke wo 40 minute tak press conference mein they“.

Wo jis group ke baare mein baat kar rahay hain, Maloom nahi hai, Lekin aisa lagta hai ke ye hawala Americi sadar ka hai, Jo apni taweel, Jarehana press Conference ke liye janay jatay hain. Baad mein Footage mein ek na qabil yaqeen Trudeau group ko batata hai ke, Jis mein Netherlands ke wazeer azam Mark Rutte aur bhi shaamil hain. ”Aap ne abhi apni team ke jawanu ko farsh par gira dya“.

Darin asna hamza, Sadar Trump ne charshumbe ke roz shumali Atlantic moahida tanzeem ki 70 we saalgirah ke ijlaas mein apne mutanazia doray ki maiz baani ke liye achanak ek press conference mansookh kar di. –YTN STAFF