Wednesday, April 24, 2024
HomeSliderNataij ke baad America mein bad amni aur fasaad ka khadsha

Nataij ke baad America mein bad amni aur fasaad ka khadsha

Hyderabad: Is waqt saari duniya ki nazrain America mein sadaarti intikhabaat ke aakhri marhalay ki raye dahi aur nataij par margoz hain kyunkay is waqt America ke aglay sadar ki kursi par qabza jamanay ke liye mojooda sadar Donald Trump aur un ke catter hareef aur sabiq naib sadar Joe Biden ke darmiyan sakht muqaabla mutawaqqa hai aur chand ghanton mein America ke 46 wi sadar ka intikhab amal mein aayega.

America mein sadar ka intikhab awaami voton ke zareya muntakhib Electoral voting tadaad par hota hai aur kisi bhi umeedwar ku America ka sadar ban’nay ke liye 538 mein se 270 ya is se ziyada Electors ki himayat laazmi hai. Tadam tehreer sadaarti intikhabaat ke liye aakhri marhalay ki raye dahi New York, New Jersey aur Virginia mein shuru hochuki hai jis ke sath hi saari duniya ki nazrain ab America ke 46 wi sadar ke intikhab par markooz hochuki hain aur ek tajas paaya jata hai ke kya mutanazia policies ke haamil Donald Trump apni doosri miyad ke liye muntakhib hotay hain ya phir sabiq sadar Barack Obama ke naib Biden ek nai tareekh raqam karte hain.

Waisay to duniya ke sab se taaqatwar tareen aur jamhooriat ka malaa chaapne walay mulk America ke sadaarti intikhab ka asar aalmi tijarti mandiyon se leker ek aam aadmi ki zindagi tak deekhaee deta hai kyunkay Hindustan mein dekha ja raha hai ke kayi aisay aam log jinhen Americi sadaarti intikhabaat se kuch lena dena nahi hai woh apne WhatsApp status par Trump jeetay ga…. Biden jeetay ga tehreer kar chukay hain aur woh is liye yeh status laga rahay ke agar un ki pesh qiyaasi durust saabit hojaye to woh apni shekhi bagar saken lekin doosri janib Americi aam logon ki zindagi mein kya tufaan aaya huwa hai is ka andaza lagana bohat aasaan hai kyunkay America ke kayi shehron mein sheeshon se aarasta badi dukanat aur Showrooms ko lakdi se chokhton se dhampa ja raha hai kyunkay un khadsha hai ke intikhabaat ke baad shayad mulk mein shehri bad-amni urooj par rahay gi aur fasaad ka khadsha bhi zahir kiya ja raha hai.

Intikhabaat ke baad honay walay tashadud ke khauf se dukandaron ne sheeshon ki khidkion par lakdi ke daston aur hifazati darwazon se izafi Security ke intizamaa kar rahay hain. Duknaat ka amlah peer ki subah 6 bajey ek hi kaam ke sath Rodeo Drive pohancha jahan taqreeban 70 posh boutiques aur aala darjay ki khususiyaat ki haamil Showrooms aur dukanaat hain. Amlah ne Rodeo Drive ku gadiyon aur paidal chalne walon ke liye 2 din ke liye band karne ka iradah kya yeh sab intikhabi din se shuru hochuka hai kyunkay inhen khauf hai ke intikhabaat ke baad shehri fasaad ho sakta hai aur dukanaat-o-Showrooms ko nishana banatay hue un ke amlaak ko aag ki nazar kiya ja sakta hai.

Ek saal tak bad amni nishana ban’nay ke baad America bhar mein khorda farosh sadaarti intikhab ke douran apne Stores ki hifazat ke liye kaafi kuch kar rahay hain jin mein khaas kar lakdi ke motay motay takhton se apni dukanaat ko dhaankna hai. Hifazati iqdamaat par lakhoon kharch kiye jarahay hain agar aisa nah kiya jaye to taizi se tanaza ka sabab ban saket hain aur Crores Dollars ka nuqsaan bardasht karna padega. Saks Fifth Avenue aur CVS Stores ki khidkion par hifazati parday chadh chuke hain aur kuchh maqamat par izafi security ka awam intizamaa kar rahay hain. Alawa azeen Neiman Marx tamam dukanon ko shaam 5 bajey band kar rahay hain. Yom-e-intikhab ke dosray din mangal ko mukammal tor par band rakhnay ya mulazimeen ko vote daalnay ya intikhabaat mein raza karana khidmaat ke liye muawzay ki mohlat muhayya kar rahay hain.

Saks Fifth Avenue ke tarjuman Nicole Schoberg ne ek bayan mein kaha hamaray sarfeen, Sathiyon aur muashray ki hifazat ke sath sath hamaray asason ka tahaffuz bhi intehai ahmiyat ka haamil hai isi liye is terhan ke Securities intizamaa kiye jarahay hain taakay bad amni ka behtar tareeqa se muqaabla kiya jasakay.

Intikhabaat aam Americi awam ke liye taaza tareen pareshani aur masla saabit ho rahay hain kyunke inhen pehlay hi coronavirus ke wabai marz aur shehery bad-amni ne bohat mutaser kiya hai. Minneapolis mein police ki tehweel mein George Floyd nami ek siyah faam shakhs ke 25 May ke qatal ke waqeye ne mulk bhar mein muzahirey ko janam diya tha, Jis mein kuch par tashadud muzahiron bhi shaamil thay. America bhar mein duknaat aur showrooms ki toad phod ki gayi, Jis ke nateejay mein Crores Dollars ke awaami amlaak raakh ki dhair mein tabdeel hogaye.

Insurance Information Institute ke ibtidayi takhminon ke mutabiq khorda faroshon ne amlaak ko honay walay nuqsaan aur chori se honay wala nuqsaan Americi tareekh ka mehanga tareen shehri iztiraab qarar diya gaya hai. Nataij ke jawab mein shehri bad amni phoot padney ki soorat mein un karobari idaron ke numaindon ne kaha ke woh ahthyat ki kasrat aur asason ke tahaffuz ke liye kaam kar rahay hain.

New York, DC, Aur Chicago jaisay shehron mein awam apne amlaak ko mehfooz bananay ke liye America ke kuch baday Corporations ki koshisho ki videos aur tasaveer share kar rahay hain taakay behtar hifazati iqdamaat se har koi faida utha sakay. Kuch afraad ne kaha hai woh dekh rahay hain ke aisa pehli martaba ho raha hai jab sadaarti intikhabaat ke douran awam bhi apne amlaak ko sakht hifazati daira mein daakhil karne mein masroof hain.