Wednesday, April 24, 2024
HomeIndiaNashe mein dhut naujawan qhatoon ne fauji gaadi ko nishana banaya

Nashe mein dhut naujawan qhatoon ne fauji gaadi ko nishana banaya

Madhya Pradesh: Nashe mein aadmi kya kar jaata hai use khud ko pata nahi chalta lekin nashe mein ki jaane wali harkat aur khas kar hungama araae ka hamesha hi bada nuqsan utana padhta hain. Nashe ki halat mein hungama aarahe kioe nayi baat nahi lekin in dino khoobsurat qhawateen ka nashe ki halat mein hungama aarahe karna ek rujaan ban chuka jabke riyasat Madhya pradesh ke shehar gwalior mein paish aaye waqia mein toh model nashe ki halat mein itni be qaboo hogayi ke usne fauj ki gaadi ko nuqsan pohuncha diya.

Tafseelat ke ba maujib 22 saala ladki ne gujishta raat gawaliyar mein fauj ki gaadi par hamla kar ke use nuqsan pohunchaya nashe mein us ladki ki harkat ki video jume raat ko social media par viral hui. Video mein ladki ko fauji ki gaadi ki headlight ko laat marte aur nuqsan pohunchate huwe dekha ja sakta hain. Usne ek fauji auhdedar ko bhi peeche dhakel diya jisne use rokne ki koshish ki aini shahideen ne kaha ke ladki ne zyadati ki aur rahgeeron par na zeba tabsere kiye us ne sadkon par gadiyon ki naql o harkat mein bhi khalal dala.

Police ko use hirasat mein lene mein aadhe ghante se zyada ka waqt laga. Zariye ne kaha ke is waqt koe qhatoon constable padao police station mein duty par nahi thi jab police ko hungama aarahe ki ittela mili jiski wajeh se kisi qadar taqeer bhi huwi. Zariye ne kaha ke padao police station ne control room se raabta kiya aur kuch khawateen police constable rawana karne ka mutaliba kiya.l ladki ko baad mein hirasat mein le kar thaane muntaqil kiya gaya.

Qud ku Delhi ki model batane wali ladki ne police ko bataya ke woh ek taqreeb mein shirkat ke liye gawaliyar aayi thi. Police zariye ne kaha ke ladki apne doston ke saath ek hotel mein party kar rahi thi. Usne apne ek dost se behas ki aur hotel se utar aayi. Uske baad usne sadak par hungama barpa kar diya. Medical report ki buniyad par us par excise act ki mutalliqa dafaat ke tehat muqadma darj kiya gaya tha. Woh zamanat par riha huwi fauj ke auhdedaro ne abhi tak koe shikayat darj nahi ki hain.