Hyderabad: Telangana mein Bars aur Pubs ko dobarah kholnay ke liye reyasti hukoomat ki ijazat ke baad shehar Hyderabad mein Traffic Police nashay mein Driving ke ke khilaaf police ki karwaion ku dobarah shuru karne ki tayari kar rahi hai. City police ke Traffic Wing mein aala ohdedar SOPs ka musevida tayyar karne mein masroof hain taakay masharti faaslay ko yakeeni banaya jasakay aur Covid-19 ke usoolon par shehri amal pera hon.
Traffic Police ne Covid-19 wabai marz aur is se mutaliq umoor ke baad pichlle kuch mahino se nashay mein Driving test moattal kardiya tha kyunkay shehar mein lockdown ki wajah se Bars aur Pubs band thay lehaza nashay ke sath driving ke mamlaat na ke barabar thay. Pichlle 2 din mein Pubs aur Bar ke khulnay ke baad traffic police aahista aahista shehar mein nashay ke sath driving par apni tawajah markooz kar chuki hai.
Hyderabad ke Additional Commissionaire ( Traffic ) Anil Kumar ne kaha hum apne ohday daaron ko coronavirus se bachanay ke liye Checking ke douran SOPs par amal pera kar rahay hain. Ek martaba SOPs tye hojane ke baad hamaray ohdedaron ko SOPs ke baray mein tafseelaat faraham ki jayen ge. Nashay ke sath gaadi chalana ek hassas maamla hai aur corona ke douran is ke khilaaf karwai mein ziyada ahthyat ki zaroorat hai aur un tamam nakaat ka jaiza letay hue jald hi nashay ke sath driving check dobarah shuru ho jaien ge.
Traffic police hatmi shakal dainay se pehlay dosray reyaston mein un ke hum mansibon ke zareya ikhtiyar kardah SOPs ka mutalea kere gi. Ohdedar ne kaha hai ke gadiyon ko roknay aur traffic ko jama karne, Traffic police ohdedaron ki hifazat, Motor sawaron ko ziyada miqdaar mein jama karne se roknay, Gadiyaan zabt karne aur un ko hirasat mein lainay jaisay mutadid umoor ka khayaal rakhna hoga.
Police ka mansoobah hai ke traffic police check points ki tadaad ko kam kiya jaye aur is ke bajaye chaodie sadkain muntakhib ki jayen jahan checking ke liye traffic police ke mazeed ohdedar tainaat kiye ja sakain. Faraiz ki tafweez se qabal police ohdedaron ki sehat aala afsar ke zareya check ki jaye gi. Is ke ilawa police ohdedaron SOP kit pahannay aur Hand sanitizers aur deegar hifazati poshak ka istemaal karne ke liye kaha jaye ga.