Sunday, April 20, 2025
HomeSliderNaseem Shah ki shandaar bowling, Pakistan ne Srilanka ke khilaaf series jeet...

Naseem Shah ki shandaar bowling, Pakistan ne Srilanka ke khilaaf series jeet li

Karachi: Nowjawan fast bowler Naseem Shah ki shandaar bowling aur 5 wicketoun ke husool ki badolat Pakistan ne Srilanka ke khilaaf Karachi Test mein kamyabi aur series par 1-0 se qabza karliya hai. Pakistan aur Srilanka ke darmain 2 Test Matches ki series ke dosray aur aakhri Test Match mein Pakistan ne 263 Runs se kamyabi haasil kar ke series apne naam karli hai. Is kamyabi se Pakistan ko 60 nishanaat milgaye hain aur West Championship ke jadole par wo teesray number par agaya hai.

Karachi ke National Stadium mein khailay gaye Match mein Srilanka ko fatah ke 476 Runs ka hadaf mila tha taham is ki poori team 212 Runs bana kar out hogayi. Doosri Inning mein Pakistan ki janib se Naseem Shah ne shandaar bowling ka muzahira karte hue 12.5 Overs mein 31 Runs day kar 5 khiladioun ka out kiya, Yasir Shah ne 2 jabkay Shaheen Afridi, Haris Sohail aur Mohammad Abbas ne fi kas 1 wicket haasil ki.

Srilanka ki janib se Fernando 102 aur Niroshan Dickwella  ne 65 Runs ke sath qabil zikar rahay. Match ke aakhri din Srilanka ne 212 Runs saat khiladi out par apni Inning dobarah shuru ki to baghair kisi run ke izafay ke is ki tenu wickten gir gayeen. Naseem Shah ne pehli hi baal par Embuldeniya. ko out kar diya, Is ke aglay over mein Yasir Shah ne century bananay walay Fernando ko Pavellion ki raah dikha di.

Aakhri wicket bhi Naseem Shah ke hissay mein aayi jinhoun ne  Oshada Fernando ko sifar par LBW out kar ke apni panchwien wicket haasil ki. Test Cricket ke tareekh mein ek Inning mein 5 wickten haasil karne dosray kam omar tareen bowler ban gaye.

Ye record ab bhi 1 Pakistani bowler ke naam tha. 1958 mein Naseem Al Ghani ne West Indies ke khilaaf George Town Test mein 5 wickten haasil ki then, Is waqt unki omar 16 baras aur 303 din thi. Jabkay ek Inning mein 5 wickten lainay walay teesray kam omer tareen bowler ka aizaz bhi Pakistan ke naam hai. Mohammad Aamir ne 17 saal 257 din ki Omar mein Australia ke khilaaf 2009 mein Melbourn Test mein 5 wickten haasil ki then

is se qabal Match ke chouthay roz 476 Runs ke taqub mein Srilanka ki pehli wicket 39 ke majmoi score par giri jab Karunaratne 16 Runs bana kar Mohammad Abbas ka shikaar banay they. Is ke foran baad hi Naseem Shah ne Mendis ko Pavellion ki raah dikha di, Wo koi run na bana sakay. 70 ke majmoi score par shaheen Shah Afridi ne Mathews ko bhi out kar diya, Wo sirf 19 Runs bana sakay.

Srilanka ki chaothi wicket 96 ke majmoi score par giri jab Naseem Shah ne Chandimal ko 2 Runs par LBW out kar diya. Is ke aglay hi over mein Yasir Shah ne De Silva ko sifar par pavellion ki raah dikha di. 97 Runs par nisf team pavellion lout jaaney ke baad Niroshan Dickwella  aur Oshada Fernando ke darmain 104 Runs ki Partnership hui aur dono ne batting line ko kuch sahara faraham kiya.

Taham 65 ke infiradi score par Haris Sohail ne Dickwala ko out kar ke Pakistan ko chhutti kamyabi dilae. Srilanka ki satwen wicket chouthay din ke aakhri over mein giri jab Perera 5 Runs bananay ke baad Naseem Shah ki gaind par wicket keeper Rizwan ke hathon Catch out huve.

Is se qabal Pakistan ne apni doosri Inning 555 Runs 3 khiladi out par khatam kar di thi. Pakistan ke liye doosri Inning mein Ibtedaye charoun Batsmanoun Openers Abid Ali , Shaan Masood, Captain Azhar Ali aur Babar Azam ne Centuria score ki hain. Abid Ali jinhoun ne Pakistan ke liye 174 Runs ki Inning kheli inhen Match aur series ka behtareen khiladi ka award mila. –YTN STAFF