Saturday, May 18, 2024
HomeIndiaNaroda Patiya Fasaad : Supreme Court ne 90 logo ke qatal ke...

Naroda Patiya Fasaad : Supreme Court ne 90 logo ke qatal ke 4 Qusurwaaro ko Dee Zamanat

New Delhi : Supreme Court ne 2002 Naroda Patiya fasaad muaamle may 4 qusurwaaro ko zamanat par chodne ka hukum diya hai.

Ye maamla gujrat fasadaat se juda hai jahan Ahmedabad ke Naroda Patiya ilaqe may 28 feb 2002 ko mushtaeel Bheed ne  aqliati baradri ke qareeb 97 logon ka qatal kar diya tha.

Naroda Patiya muamle may guzishta saal gujrat high court ne Bajrang dal ke leader Babu bajrangi ko qusurwar qarar diya tha lekin sabutoon ki ghair maujudgi se sabiq BJP wazeer Maya Kontanani ko bari kar diya tha.

Is maamle may Supreme court ke justice A.M khanwilkar ki sadarat wali bench ne mangal ko chaar ahem qusurwaaro ko zamanat dedi, is ke sath hi bench ne kaha ke un ko qusurwaar qarar diye jaaney par shak hai.

Is maamle may abhi behas ki gunjaish hai is liye inhe zamanat par riha kiya gaya, un sabhi qusurwaaro ko IPC k dafaa No.436 ( ghar ko barbaad karne ke irade se, aag lagana ya dhamaka karna ) ke tehat qusurwaar tehraya gaya tha .