Tuesday, April 16, 2024
HomeExclusiveNarendra Modi ki zaati Website ka Twitter Account hack ho gaya

Narendra Modi ki zaati Website ka Twitter Account hack ho gaya

Hindostan ke Wazeer e Azam Narendra Modi ki zaati Website aur Mobile App ka Twitter Account aaj subah saweray hacked hogaya, Is baat ki tasdeeq Social Media company nay ki. Twitter nay kaha ke is nay samjhota karne walay Account ko mehfooz bananay ke liye liye iqdamaat uthaye hai aur woh soorat-e-haal ki sargarmi se tehqiqaat kar raha hai.

Jumaraat ke roz Alas subha o zair Azam Narendra Modi ki zaati Website se munsalik Twitter Account se samjhota kiya gaya tha, Jis mein ek fard ya ek group ki janib se khud ko’ John Wick ‘ ke naam se shanakht karne walay Tweets ki ek fehrist jari ki gayi.

Wazeer e azam ka Account hack honay ke baad Tweets mein se ek post kiye gaye Email se jawab dainay walay shakhs nay kaha ke, “Hamara is Account ko Hack karne ka koi dosra iradah nahi, Haal hi mein hamaray naam ke jaali khabron ke zariye Paytm Mall hack kiya gaya tha, Lehaza hum nay Hindostan mein tamam news publishers ko Email bheja tha ke wo hum nahi hai, Taham kisi nay koi jawab nahi diya, Lehaza hum nay kuch post karne ka faisla kiya hai”, Baad azan un Tweets ko hata diya gaya.

Wazeh rahay ke Narendra Modi ke apni personal Website ka Twitter Account May 2011 mein banaya gaya tha, Jis mein taqreeban, 25 lakh se zayed Followers aur 37000 se ziyada Tweets hai.

Twitter ke ek tarjuman ne apne bayan mein, “Kaha hum is sargarmi se waaqif hai aur samjhota shuda Account ko mehfooz bananay ke liye iqdamaat uthaye hain, Aur hum sorat-e-haal ki sargarmi se tehqiqaat kar rahay hain. Is waqt hamein izafi Account par asar andaaz honay ke baray mein maloom nahi hai”.

Hack shuda Account se aakhri Tweet 31 August ko huwa tha, Jis mein is Tweets mein Wazeer e Azam Modi ke apne mahana Radio programme “Man ki Baat” ka iqtabas kiya gaya tha. Wazeer e azam ki taqreer aur deegar programon ke baqaidagi se Updates, Is Account se kiye jatay hain. Wazeh rahay ke do mah qabal July mein mumtaz shaksiaat ke kayi Twitter Accounts hack kiye jany ke baad ye waqea samnay aaya.

Hackers ney July ke mah mein Twitter ke dakhli nizaam taq rasai haasil ki thi jis mein sadaarti umeed waar Joe Biden, Sabiqa Americi sadar Barack Obama, Arab patti Elon Musk, Micorsoft ke shareek baani Bill Gates, sameit Platform ke aala shaksiaat ke Accounts ko hack kiya aur digital Currency ke husool ke liye un ka istemaal kiya gaya.