Friday, May 17, 2024
HomeIndiaNarendra Modi aur Godse ek jaisay hain : Rahul Gandhi

Narendra Modi aur Godse ek jaisay hain : Rahul Gandhi

Wayanad  ( Kerala ): Wazeer aazam Narendra Modi ko nishana banatay hue, Congress ke sabiq sadar Rahul Gandhi ne jumaraat ke roz inhen ”Nathuram Godse ki terhan qarar diya, Jis ne Gandhi jee ko goli maar kar halaak kiya tha“. Rahul Gandhi ne ye baat, Shehriat Tarmeemi Act ( CAA ) ke khilaaf ”Ayeen bachao March“ Ki qayadat ke fori baad ek badi awaami Rally se khitaab karte hue kahi.

Unhoun ne kaha’ ‘ Aaj ka din Hindustan ke liye afsoosnaak din hai, Kyunkay ke is din hi Hindustan mein peda honay walay sab se azeem shakhs Mahatma Gandhi jee ko nafrat aur gussa se bharay 1 shakhs ne goli markar halaak kar diya tha, Godse Gandhi jee ko pasand nahi karte thay, Kyunkay wo sachaai ki talaash karte thay aur chahtay thay ke har koyi apne mazhab aur imaan per yaqeen rakhay“.

Rahul ne kaha ke ”Aaj ek jaahil shakhs Hindustan par hukmarani karta hai aur wo ek aisa shakhs hai jo nafrat aur ghusse se bhada huva hai aur jhoota hai.

Godse aur Modi dono ek hi nazriya par yaqeen rakhtay hain. Ye dono afraad sirf khud par yaqeen rakhtay hain aur kabhi doosroun ki nahi suntay hain.

Ek jhoota ya buzz dil, Sachaai ko nahi dekh sakta, Aur Modi ne aisa hi kiya hai.

Unhoun ne kaha “Hindustan ne hamesha duniya ko dekhaya hai ke mukhtalif mazahab, Aqaed, Saqaftin, sukoun se rehtay hain, Lekin aaj wo sorat e haal badal gayi hai aur ye hamaray mulk mein jung jaisi sorat e haal hai. Ab kalaburagi aur Gauri Lankesh jaisay bolnay walay logoun ko goli maar kar qatal kiya jata hai, Khawateen ke sath zayad-ti ki ja rahi hai, Be roz gari ab tak ki bad tareen sorat e haal mein hai“.

”Aur ab Hindustanyoun se ye saabit karne ke liye kaha ja taa hai ke wo Hindustani hain. Modi ko sirf apne dost hi pasand hain aur aaj Adani ko tamam bandar gahen aur hawayi adday diye gaye hain aur ab wo hindustani Railway ko bhi dainay ka mansoobah bana rahay hin“. Lekin mein aap ko yaqeen dilaata hon ke aakhir mein hum hi jiiten ge, Kyunkay hum mohabbat aur piyar par yaqeen rakhtay hain. Hum inhen apne piyar se shikast den ge. –YTN STAFF