Riyadh: Saudi Arab ke wazeer baraye mazhabi umoor Dr Abdullatif Al-Sheikh ne ek bayan mein shehrioun par zor diya hai ke wo apni aur doosroun ki hifazat yakeeni bananay ke liye wizarat sehat ke waza kardah tareeqakar ki pairwi karen.
Media se baat karte huve Saudi wazeer mazhabi umoor ne kaha ke hukoomat ne Masajid ko ibadat ke liye kholnay ka faisla kiya hai. Masajid khole jany ke sath sath namazyoun ko bhi bohat ziyada ahtheyat se kaam lena hoga.
Unhoun ne kaha ke hum shehrioun se Appeal karte hain ke wo gharoun se wudu karkay masajid mein ayen aur Jaye Namaz gharoun se sath layein. Is ke sath shehrioun ko chehray par Mask, Masajid ka rukh karne se qabal hathoun ko achi terhan dhonay ke ilawa deegar hifazati iqdamaat karen.
Saudi Arab ke wazeer mazhabi umoor Dr Abdullatif Al-Sheikh ne kaha hai ke Mecca Muazzama ki masajid ke siwa mulk ki tamam masajid mein namaz jummay aur ba jamaat namazoun ki mashroot ijazat di gayi hai. Is hawalay se hukoomat ki taraf se masajid mein namaz aur ibadat ke liye naya mikka nazm tayyar kiya hai. Masajid ko Azaan se 15 minute qabal khola jayega aur farz namaz ki adayi ke 10 minute ke baad masajid ko band kardiya jayega. Azaan aur Aqamat ke darmain 10 minute ka waqfa hoga. Namazoun ki adai ke douran masajid ke tamam darwazay aur khidkiyan khuli rakhi jayengi. Aarzi tor par Masajid se Quran pak ke nuskhay aur kutub utha li gayi hain.
Naye mika nazm ke tehat 2 namazyon ke darmain 2 namazyoun ki jagah khaali choadi jayegi jab ke 2 safoon ke darmain ek saf khaali rakhi jaye gi. Masajid ke tamam water cooler band kardiye jayen ge. Masajid mein kisi qisam ke khanay peenay ki ashya taqseem karne ki ijazat nahi hogi. Namazoun ke adai ke douran Masajid ki wudu gaah ko band rakha jayega. Shehrioun ko hidaayat ki gayi hai ke wo wudu gharo se karkay Masajid mein ayen.
Saudi wazeer baraye mazhabi umoor Al-Sheikh ki hidayat ke mutabiq jummay ki namaz ke liye Masajid mein ahteyati tadabeer ke tehat namaz jummay se sirf 20 minute qabal azaan ki jayegi. Masajid ko namaz jummay se 20 minute qabal khoola aur Namaz ke 20 minute baad band kardiya jayega. Khutba jummay sirf 15 dainay ki ijazat hogi. Masajid mein har tarah ke dinee aur taleemi dars-o-tadrees aur Tahfeez Al Quran ka silsila taa ittila sani band rahay ga. –YTN STAFF