Thursday, May 2, 2024
HomeIndiaNamaz ada karne ja rahay thay Imtiaz Jaleel, Rastay mein hue giraftar

Namaz ada karne ja rahay thay Imtiaz Jaleel, Rastay mein hue giraftar

Aurangabad: All India Majlis-e-Ittehadul Muslimeen ke rukan parliament Imtiaz Jaleel ko police ny budh ke roz yahan Maharashtra mein is waqt giraftar kar liya jab woh Covid-19 pabandion ki khilaaf warzi karte hue Masjid jarahay they. Wazeh rahay ke guzashta hafta Imtiaz Jaleel aur All India Majlis-e-Ittehadul Muslimeen ke reyasti Unit ke sadar ny kaha tha ke agar reyasti hukoomat tamam mazhabi maqamat ko kholnay mein nakaam rahi to woh masjid mein namaz padhnay jayen ge, Jo wabai marz ke sabab band kar di gayi thi.

Muqami ehalkaron ney bataya ke member of parliament Imtiaz Jaleel ko is waqt giraftar mein liya gaya, Jab woh namaz Zohar ada karne Shah Ganj masjid jarahay they, Aur phir inhen City police ney hirasat mein le liya aur commissioner ke daftar le jaya gaya. Imtiaz Jaleel ney kaha ke agar “Hukumat tamam mazhabi maqamat ko kholnay mein nakaam rahi to riyasat bhar mein aisay hi tehreek chalaye jayengi. ”

Commissioner of police Chiranjeev Prasad nay bataya ke “Imtiaz Jaleel ko un ke daftar ke qareeb hirasat mein liya gaya”. Unhoun nay mazeed kaha ke “ham nay Jaleel ko reyasti hukoomat ki taraf se jari kardah taaza tareen rehnuma khutoot ( Guidelines ) ke baare mein aagah karwaya hai, Agar woh un guidelines ki khilaaf warzi karte hain to un par Action liya jaye ga.

Wazeh rahay ke mangal ke roz Shive Sena aur All India Majlis-e-Ittehadul Muslimeen ke karkunaan ka tukrar huwa, Isi douran un rukan parliament Imtiaz Jaleel ney elaan kiya ke woh Khadkeshwar Mandir ka dora karen ge aur hukkaam ko ek yaad dasht pesh karen ge jis mein yeh mutalba kiya gaya hai ke, Woh is mandir ko khoola jaye.

Giraftari ki ittila milnay par Majlis-e-Ittehadul Muslimeen ke karkunaan commissioner daftar ke ihatay mein jama hogaye, Is mauqa par un ka mutalba tha ke jab taq rukan parliament reha nahi ho jatay, Woh yahan se nahi jayen ge, Baad azan police ney Imtiaz Jaleel ko reha kar diya.