Sunday, May 19, 2024
HomeJurmNalgonda qatal mein Muslim naujawanon ka role!

Nalgonda qatal mein Muslim naujawanon ka role!

Harin Pandya qatal muqaddama ke mulzim Abdulbari aur Congress leader Mohammad Kareem ki giraftari. Qatal ke liye ladki ke waalid ney aik Crore ki peshkash ki thi. Qatilon ko 50 lakh paishgi ada kiye ja chukay thae.

Hyderabad. Nalgonda mein ghirat ke naam par Paranay Perumala ke sansani khaiz qatal mein Malakpet ke saakin Mohammad Abdulbari ko peer ke din girftar karliya gaya hai. Yeh wohi Abdulbari hai jo sabiq wazeer e dakhla Gujrat Harin Pandya ke qatal muqadma mein giraftari ke baad bari hogaya tha. Miryalaguda Police ka kahena hai ke Abdulbari ney Amruta Varshani ke waalid T. Maruthi aur Bihar ke qatilon ke darmyiaan mushtaba Mamlat karwai thi. Police ney iss qatal ke silsila mein muqami Congresi Leader Mohammad Kareem ko bhi hirasat mein le liya hai. Yaad rahay ke Amruta Varshani  ney jo dalit naujawan Pranay Perumala  se shadi rachali thi jis se woh piyar karti thi. Perumala par khanjaron se hamla karkay is waqt halaak kardiya gaya jab woh apni haamila biwi ka checkup karwane ke baad Hospital se wapas lout raha tha. Police ka kehna hai ke is qatal ke silsila mein 7 afraad bashmool qaatil ko Bihar mein girftar karliya gaya hai. Iss qatal ke liye toli ko aik Crore rupay dainey ki peshkash ki gayi thi aur qatilon ko 18 Lakh rupay bhi ada kiye ja chukay thae. Aik Senior Police ohdedar ke hawala se Times of India ne khabar di ke ladki ke waalid Maruthi Rao ney Mohammad Kareem ke tavassut se Abdulbari se rabita qhayam kiya aur qatal ke aiwaz aik Crore rupay dainey ki peshkash ki gayi. Maruthi Rao ney paishgi ke taur par 50 lakh rupay bhi ada kar diye thae. Senior Police ohdedar ney bataya ke Abdulbari, Nalgonda ke Asghar Ali ka saathi hai aur woh bhi Harin Pandia qatal case mein bari hochuka hai. Abdulbari ko Asghar Ali ke sath Central Bueuro of Investigation ki janib se 2003 mein girftar kiya gaya tha. Un par POTA ke tahet muqadma darj kiya gaya tha. Ahmedabad ki Session Court ney 2010 mein tamam mulzimin ko bari kardiya tha aur High Court ney bhi zaireen adalat ke faisla ko barqarar rakha tha. Harin Pandia qatal muqadma se bari honay ke baad Asghar Ali aur Abdulbari ko mushtaba dehshatgard Mirza Fayaz Baig ki Police hirasat se 1996 mein faraari mein madad karne ke ilzaam mein Central Crime Station Hyderabad ney girftar karliya tha. January 2013 mein yeh dono Baig ke case se bhi bari hogaye. Nalgonda ka mutawin Abdulbari Saleem Nagar, Malekpet mein muqeem tha. Perumala ke qatal ki saazish mein Telangana Rashtra Samiti ke sabiq Rukn e Assembly Viresham ka bhi naam liya ja raha tha taham aik Police ohdedar ney kaha ke is qatal mein un ka koi role nahi hai. Mohammad Kareem aur ladki ke waalid dono dost hain aur zameenat ke mamlaat karte hain. Mohammad Kareem ki iss qatal mein girftary ke baad Congress Party ney unhen sadar town ke ohda se barkhast kardiya hai. Paranay aur Amruta ney January mein shadi karliye thae aur woh kuch dinon ke liye ruposh hogaye thae chunkay unhen dar tha ke jaan se mardiya jaye ga.