Sunday, May 19, 2024
HomeExclusiveNai nasal Technology se mukammal tour par waaqif sirf usay urdu se...

Nai nasal Technology se mukammal tour par waaqif sirf usay urdu se jodna waqt ka taqaza

urdu scholars association ke seminar se professor rehmat Yousuf zai
professor fazl ullah mukaram aur deegar ka khitaab

Hyderabad : 21st sadi mein computer aur internet ki wajah se cyber Technology hamari ek ahem zaroorat hai jis se misbet tor par istifada karna hamari ahem zimedaari hai.

Technology ke farogh ne duniya ko ek global village mein tabdeel kardiya hai aisay mein urdu zabaan wo adab ko technology se jodna waqt ka ahem taqaza hai urdu ka besh-e-qeemat sarmaya jo kitabon ki shakal mein mehfooz hai usay unicode ki madad se cyber duniya mein mehfooz kiya jana waqt ka ahem taqaza hai. is silsila mein tecnology se waaqif urdu scholars ke kandhon par ahem zimmedaari aaed hoti hai. un khayalat ka izhara professor Rehmat Yousuf zai sabiq sadar shoba urdu university of Hyderabad ne urdu scholars association Telangana ki janib se media plus auditorium hyderabad mein munaqidah ek roza urdu seminar ka Asri manzar nama aur technology ke sadaarti khitaab se kiya.

Media Plus Auditorium Urdu technology seminar

Unhon ne mazeed kaha ke Global village ke is door mein corporate idaray professional business mean apne kaarobar ke farogh ke liye urdu ka istemaal karte hain aisay mein angrezi zabaan se urdu mein ghalat tarjume ki bohat si misalein samnay aayi hai zaroorat hai ke Hyderabad mein urdu tarjuma ka ek markaz qaim ho jahan corporate ki urdu ka durust tarjuma ho. is seminar ka kalidi khutba, urdu ka Asri manzar nama aur technology ke unwan se professor syed fazal ullah Mukaram university of Hyderabad ne diya. unhon ne apne khutba mein kaha ke technology ke is ehad mein nai nasal urdu technology ke istemaal se behtar tor par waaqif hai zaroorat is baat ki hai ke nasal nou ko urdu se joda jaye unhein urdu sikhayi jaye taakay urdu zabaan wo adab ka farogh ho aur hamari tahazeeb, tamaddun aur Saqafat ka tahaffuz mumkin ho, yeh daur hunar ka daur hai aisay mein urdu ko technology se jodhte hue rozgaar ke behtar mawaqay paeda kiye jaye unhon ne deccani adab ke tahaffuz par tavajja denay ki baat ki.

Media Plus Auditorium Urdu technology seminar

Alawa azeen unhon ne Telugu ke hamaray soutelay sulooq par tanqeed ki aur kaha ke hamein ilaqai zabanon se istifada karna hoga kahin aisa ke jis tarhan hindi walon ne Ameer Khusru ko apna keh diya hai waisay hi telugu walay qulli qutub Shah ko apna sahib dewan banale. mehmanan aizazi Dr abid Moiz musheer urdu markaz baraye farogh aloom moulana azad national urdu university ne apne khitaab mein kaha ke internet par urdu ka farogh idaron anjumanoun se ziyada fard wahid ki koshisho se horaha hai zaroorat bhi hai ke is shoba mein urdu ko technology se jodnay mein rukawatein hain unka mutalba kiya jaye unke hal par tavajja di jaye, urdu ka qaari ab E-kitaab ki taraf tavajja kar raha hai phir ek arsa baad woh warqi kitaab ki taraf lautega.

Media Plus Auditorium Urdu technology seminar

Is Dr Saleem sadar shoba urdu Shadan college, janab Haleem Babar sadar bazm kehkashan, Arshad Hussain noble infotek ne bhi khitaab kiya. seminar ka aaghaz dr aslam Farooqi ki talawat se hua. seminar may janab Ajaz Obaid mudeer simt wo admin bazm Urdu library ne Unicode system, digital library, dr syed fazil Hussain Parvez mudeer hafta war gawah ne electronic wo social media masail aur imkanaat, Dr Mohammed aslam Farooqi , sadar shoba urdu NTR degree college mehboob nagar ne tadrees mein jadeed technology ka istemaal, dr Mohammad Ehtesham ul Hasan Mujahid ( sahafi ) ne cyber sahaafat masail aur imkanaat, dr naazim Ali ne 21st sadi mein urdu ka manzar nama aur technology ke mouzo ain par maqalay padhay.

Media Plus Auditorium Urdu technology seminar

Syed mukaram niyaz, mudeer taameer News ka maqalah urdu Websites ahmiyat wo zaruriat ko Mohsin Khan padh kar sunaya. qabal azeen Dr aslam Farooqi ne khutba istaqbalia pesh kiya seminar ke ineqad ke maqsad ko bayan kiya. Mohsin Khan ke shukriya par is seminar ka ekhtataam amal mein aaya. Dr Aziz Sohail ne ba-husn khoobi se nizamat ke faraiz anjaam diye. is seminar mein Dr Gul Rana , Mohtarma Nafis Khan dr Sheikh Siyadat Ali ‘ janab Khalid Qaisari , Mohd asif Ali ( ruby news ), janab Farooq taher, dr Hamid Hilal aazmi, Mohd zahid Iqbal ( reserch scholar MANU ), zain ul aabideen ( reserch scholar manu ), Mohd Ghouse Scholar Manu) ( reserch scholar CU ), abu-hurera qasim  ( manu ), Mohd Ajaz ( Doordarshan), Rehman pasha Ajmal Farooqi , Engineer Sadiq ullah , Yousuf bin nasir, Noman noori, Dr Jahangir ehsas aur deegar ne shirkat ki. –YTN STAFF