Hyderabad:. Guzashta 15 dinon ke douran Telangana aur Karnataka mein hui musalsal barish ke asraat daryaaon par banaye gaye Dams par bhi dikhayi day rahay hain jaissa ke guzashta 10 baras ke douran pehli martaba Nagerjuna Sager ke tamam 26 darwazay khol diye gaye. yeh pehla mauqa hai ke guzashta 10 baras ke douran Nagerjuna Sager ke tamam 26 darwazay khol diye gaye jis ki wajah se pani mein 2 afraad ke beh jaany ki ittila bhi hai aur aisa khadsha zahir kya ja raha hai ke yeh 2 afraad pani mein garqaab ho gaye hain .
Mehakma aab paashi k ohdedaroun ny kaha hai ke Nagerjuna Sager mein pani ki satah mein musalsal izafah ho raha tha aur is martaba tamam 26 darwazay kholnay ki nobat aagai. 26 darwazon ko 15 foot bulandi taq khoola gaya hai jis ki wajah se 330 720 kyosk pani choda gaya hai. ohdedaron ny kaha hai ke ke Nagerjuna sager ke jab tamam 26 darwazon ko khoola gaya to pani ke bahao mein 2 afraad ke beh jaany ki khabar bhi hai aur aisa khadsha bhi hai ke un 2 afraad ki pani mein garqaab ho kar mout bhi hosakti hai .
Is ke ilawa Srisailam ke 12 darwazon mein se 10 darwazon ko bhi 48 foot bulandi taq khoola gaya jis ki wajah se 7. 5 laakh kyosk pani choda gaya hai. yahan is baat ka tazkara bhi ahem hai ke is dem par aik darwazay ki bulandi 55 foot aur choraai 65 foot hai. Dareaya Krishna mein anay walay sailaab ny dareaya Tungabhadra ke pani se mil kar Srisailam project ki aabi satah mein izafah kardiya jis ki wajah se yahan ke darwazon ko bhi khona padha
Junoobi Hindustan ki chand reyaston mein selabi surathaal ki wajah se kayi aik daryaaon par bandhay gaye dam mein pani ki satah kaafi buland hui hai yahi wajah hai ke riyasat Telangana ke ilawa Andhra Pradesh ke bhi kayi ahem ilaqoun mein surathaal aisi ho chuki hai jahan darwazon ko kholtey hue pani ki nikasi ki gayi hai. ohdedaroun ny kaha hai ke Andhra Pradesh ke zila Kurnool mein mojood Sankeshla se bhi 208363 kyosk pani ki ki nikasi ki gayi hai. yeh aab paashi project Tungabhadra darya par taamer kya gaya hai jo ke Krishna darya se Telangana ke almero maqam par millti hai