Monday, April 21, 2025
HomeSliderNagal ki Record kamyabi 7 saal baad Hindostan ko khushi

Nagal ki Record kamyabi 7 saal baad Hindostan ko khushi

New York: Corona bohraan ki wajah se jahan saari duniya mein khail ki sargarmia thap padi huvi hain wahein corona ki lapet mein mojood duniya ke number ek mulk America se Hindostan ke liye ek khush khaberi aayi hai. Jisa keh sabhi jantay hain is waqt America ke shehar New York mein Season ke aakhri Grand Slam US Open shuru hochuka hai aur US open mein Hindostan ke 7 sala taweel intezaar ka khtama is waqt huwa jab qaumi Tennis Star Sumit Nagal ny pehlay marhaly mein kamyabi haasil karli hai.

Hindustani tennis ke sare fehrist khiladi Sumit Nagal nay saal ke US open 2020 ka shandaar aaghaz kiya aur Record kamyabi ke sath dosray round mein daakhil hue jo ke Hindostan ke liye 7 saal baad pehlay round mein milnay wali kamyabi hai. US open ke single dara mein mojood Hindostani wahid khiladi Nagal nay 4 saton par mushtamil muqablay mein muqami khiladi America ke Bradley Klahn ko 2 ghanton 12 minute taweel muqablay mein 6-1, 6. 3, 3-6, 6-1 se shikast. Is record kamyabi ke sath woh kisi bhi US open ke dosray Round mein pounchanay walay pehlay hindustani ban gaye.

Nagal se qabal yeh record kamyabi Somdev Devvarman ke naam tha jaissa ke Devvarman ney 2013 mein Australian open, French open aur US open ke dosray round mein rasai haasil karne ka karnaama anjaam diya hai. Hindustani tennis star Nagal doosri martaba US open Tournament khail rahay hain. Pehlay marhalay ki shandaar kamyabi ke baad agla match khitaab ke mazboot dawedar Australia ke Dominic Thiem se hoga jo ke Tournament ke sab se mazboot dawaydaar aur aalmi number ek Serbian tennis star Novak Djokovic ke liye hi khatrah hain.

Yaad rahay ke difai champion Rafael Nadal aur Roger Federer samait kayi naamwar aur khitaab ke dawaydaar khiladion ne corona ki wajah se Tournament se dast bardari ikhtiyar ki hai jis ki wajah se Nagal ko US open mein raast dakhla mila hai. Nagal ne aakhri martaba US open mein muqaabla Roger Federer se kiya tha jahan inhen shikast huvi thi.