Saturday, May 18, 2024
HomeSliderNadal, Serena , halip aur badti ki action mein wapsi

Nadal, Serena , halip aur badti ki action mein wapsi

Melbourne: Australian open 2021 ki tayario mein aaj aalmi shohrat Yafta aur tennis ki darja bandi mein sare fehrist khiladion ne numaishi muqablay khailtay hue shaiqeen se bhare maidan may kheloun ke liye behtar umedin jagai hai.

Adelaide may nunaqidah muqabloun may novak djkovic, rafale nadal, serena Williams Naomi Osaka, semona halip aur muqami alami number ek tennis khiladi ashli barti action may nazar aayen.

Khatoon Zumra ke numaishi muqablay mein sabiq aalmi number ek semona halip ne mojooda aalmi number ek aur muqami khiladi badti ko sakht aur teen seton par mushtamil musabiqati muqablay mein 3-6, 6-1, 10-6 se shikast di.

Doosri janib serena Williams ne apni hareef japani khiladi Osaka ko 6-2, 2-6, 10-7 se super tie break mein shikast di.

Deegar muqablon mein French open champion Rafale Nadal ne US open champion domink thim ko shikast di. Is ke alawa haftay ka din tennis aur khaas kar australian open ke liye ahmiyat ka haamil raha kyun ke iss din qarantina mein mojood khiladion ka aakhri group bhi apni tanhai ko khatam kardiya hai. Ek hazaar se zayed khiladi aur ohdedar jo kay yahan 17 tayyaron ke zareya pohonche thay jin mein kayi afraad corona se mutasir hue thay jiski wajah se sabhi afraad ko 14 din ke laazmi qarantina mein rakha gaya tha aur ye mudat hafte ko khatam hochuki hai.

Melboune park jo ke Australian oopen ka mezbani karne wala muqam hai, yaha 22 khiladi masroof dihayi diye jinhoun ne apna qarantina mukammal kiya tha. Japan ke kayi nashi kori bhi shamil hai.

Alawa azeen do WTA touranament bhi itwar se khele jaenge jis may almi number ke party ko pehle marhala ka bayi mila hai.

Is ke alawa france ki ales karlet ke hamrah Osaka bhi doosre marhale may action may nazar aayeng,

Australian open ka maizbani karne wala maqam hai, yahan 22 khiladi masroof dikhayi diye jinhon ne apna qarantina mukammal kya tha. Japan ke kai nashii kori bhi shaamil hain.

Australian open ke cheif executive grig tally ne kaha hai ke Australian open tamam khiladion ke liye mukhtalif tayario ke bawajood masawi tournament hoga.