Monday, April 29, 2024
HomeLatest NewsMyanmar Russia Se 6 Jungi Tayyaray Haasil Karega

Myanmar Russia Se 6 Jungi Tayyaray Haasil Karega

Yangon:  Russia ne Myanmar ke liye 6 Sukhoi SU-30SM   jungi tayyaray tayyar karna shuru kar diye hain. Russian media ke mutabiq guzashta saal dono mumalik ke darmiyan  is saudey ke talluq se maahd hay par dastakhat kiye gaye they. Russia aur Myanmar ne 2018 mein Sukhoi SU-30SM   jungi jet tayyaron ki farahmi ke liye ek muahiday par dastakhat kiye they. yeh soda kam az kam 204 arab dollar ka hai .

Myanmar ke fouji commander & cheif senior general mann Min Aung Hlaing  ne kaha Myanmar ke ahem maqamat mein –apne fojiyoun ke liye russian fouj ka hardware bohat mufeed tha. Ek media¸ ki report ke mutabiq Commander cheif ne Russia ke douray se qabal chain ka doura kiya aur Beijing mein ek school mein gaye jahan bakhtar band gadi  ki tarbiyat di jati hai aur 11 April ko china ki peoples liberation army ( PLA ) ke senior ohdedaron se mulaqaat ki .

Myanmar fazaiya ( MAF ) mein mug 29 BRPAC, CICJF17 Thunder hai. Russia ne 2001 aur 2012 ke darmiyan  31 mug 29 ki farahmi ki jis mein 6 naye mug 29 SE model shaamil hain .

Myanmar ne Russia se ab tak jo fouji hardware ki kharidari ki un mein mug 29 jungi tayyaray, yak 130 combat trainer, MI 17, MI 24 aur MI 35 jungi helicopter aur deegar hathyaar shaamil hain. security blogs ke mutabiq Myanmar ke paas 20 mug 29  tayyaray hain aur 2018 tak Russia ne Myanmar ke security force ko kal 12 yak 130 jungi tarbiyat tayyaray diye.

China Myanmar ke liye jungi tayyaron ka ahem sarbarah raha hai. is ne 1990 ki diye ki shuruvaat mein Changdo F 7 MR Nancheng A5C ki farahmi ki.

Myanmar ne 2015 mein apne air force ke bede ki jadeed kaari ke tor par 16 JF17 aur thunder ek Douzen Yakoloyak 130 ki kharidari ka faisla kiya tha . –YTN STAFF