Monday, April 29, 2024
HomeSliderMyanmar jarayim ke saboot jama karne UN ki Team

Myanmar jarayim ke saboot jama karne UN ki Team

Aqwam e Mutahidda mein Insani Huqooq ki Council ney Myanmar ke hawala se aik team tashkeel dainay ki manzoori dae di hai. Yeh team 2011 se Myanmar mein murtakib jarayim ke baarey mein shawahid ikathay kere gi. Un shawahid ko Mulk mein insani huqooq ki paamali karne walay anasir ke taqub mein istemaal kya ja sakta hai. Iss silsila mein jumaraat ke roz 47 arkaan par mushtamil Insani Huqooq ki Council mein raye shumari hui. Council ke 35 arkaan ney aik “khud mukhtaar mechanism” tashkeel dainay ke haq mein aur 3 ney mukhalifat mein vote diya. Iss ka maqsad Council ki janib se haqayiq jan-nay walay Commission ko paya takmeel tak pahunchana hai. Commission ke barkhilaf mazkoorah mechanism ke paas aisay shawahid hon ge jin ko fouj daari noiyat ke ilzamaat ki pairwi mein istemaal kya ja sakay ga. Nai team ki tashkeel ke liye qarar daad Austria ke zair e qayadat Europi union aur Pakistan ke zair e qayadat Islami taawun tanzeem ki janib se mushtarka taur par paish ki gayi. China, Borundii aur Philippines ney qarar daad ki mukhalfat ki jab ke saat mumalik ney voting mein hssh nahi liya. Nai team apne kaam ka aaghaz aindah chand mah mein kar dae gi.Iss douran August 2017 mein Myanmar mein shuru honay walay bharpoor Security Operation ka jaayiza liya jaye ga. Insani huqooq ki jamaaton ka kahna hai ke is operation ke nateeja mein hazaron afraad apni jaanun se haath dho baithy aur lakhoon Rohingya Musalman Bangladesh naqal e makani kar gay. geneva mein Myanmar ke safeer Kyaw Moe Tun ney is qarardad ko tanqeed ka nishana banaya. Unhon ney kaha ke qarardad ke liye guzishta mah haqayiq jan-nay walay Commission ki janib se jari maloomat par inhisaar kya gaya, un mein bahut si baatien aisi theen jin ki tasdeeq nahi ho saki. Nai qarardad ke zareya is baat ke liye raah hamwar ho gi ke United Nations, Myanmar mein jarayim ke baarey mein saboot jama karne ke wastay lakhoon dollar mukhtas kare. UN ke tahqeeq karon ke mutabiq yeh jarayim ijtimai nasal kushi aur deegar jungi jarayim ki satah tak pahonch gay thae. Ghalib gumaan hai ke is faisla ke nateeja mein Myanmar mein askari qayadat par dabaaoo mein izafah ho ga aur woh jungi jarayim ke sabab tehqiqaat ka hisssah ban jayen ge. Lehaza yeh shaksiaat giraftari ke imkaan ke khauf se Myanmar ke bahar safar karne se pahlay sochnay par majboor ho jayen gi. Mahireen ney Myanmar ki hukoomat ke jarayim par bain al aqwami adalat ke nazarsani karne ke imkaan par shukook ka izhaar kya hai. Mahireen ke nazdeek yeh iqdaam aalmi salamati Council ki manzoori ke sath mashroot hai jahan China usay veto karne ka haq mehfooz rakhta hai.