Sunday, April 20, 2025
HomeJurmMuzaffarpur shelter home ki Sabiqa qaidi ki, ijtemai ismat dari mein mulawis...

Muzaffarpur shelter home ki Sabiqa qaidi ki, ijtemai ismat dari mein mulawis 3 Mulzimin giraftar

Patna : Muzaffarpur shelter home ki Sabiqa qaidi, 18 sala khatoon ke sath ijtimai zyad-ti ke 4 mulzimon mein teen ko Bihar ke maghribi champaran zila mein giraftar kiya gaya. town police station incharge shashi bhushan Thakur ne bataya ke 3 mulzimon ko peer ki raat der gaye police ne giraftar kiya, aur is case ke chouthay mulzim me giraftari ke liye chaapay maaray ja rahay hain.

Muzaffarpur ke ek shelter home mein zehni zayad-ti ki Shikar hui mutasirah khatoon ki guzashta haftay chalti car mein chaar afraad ne Ijtemayi ismat dari ki thi.

Thakur ne kaha ke charoun Mulzimin ke khilaaf ismat dari ka maamla darj kiya gaya hai. mutasirah khatoon ne police ko bataya ke guzashta jummay ki shaam 4 afraad ne usay ghar se aghwa kiya, chalti gaadi mein iske sath ijtimai ismat dari ki aur phir usay ghar ke bahar chodh kar faraar hogaye.

Guzishta haftay, Supreme Court ne Muzaffarpur shelter home case mein 8 afraad ko unke ghar bhejnay ka hukum diya tha. Supreme Court ka yeh faisla Tata institute far Social science ( TISS) ke field action project ”Koshish“ ki report par samnay aaya hai, jis mein ladkiyon ko wapas un ke ahal-e-khanah ko saumpney ka mashwara diya gaya tha.

Shelter Home Case mein majmoi tor par 44 ladkiyan mutasir hui theen, jis ki tehqiqaat is waqt cenral bureau of investigation ( CBI ) kar rahi hai. un 21 afraad par muqadma chal raha hai, jin par CBI ne un qaidiyoun ke sath jinsi zayad-ti ka ilzaam aed kiya tha, jo fil haal Dehli ki ek adalat mein zair-e-samaat hain. Muzaffarpur shelter home ka maamla May 2018 mein tab samnay aaya jab Bihar ke Social welfare department ne TISS ke samaji audit ki bunyaad par FIR darj karwai thi. –YTN STAFF