Sunday, April 28, 2024
HomeHyderabadMutasirah Hyderabadi awam gharon ki taamer no ke liye mazeed imdaad ke...

Mutasirah Hyderabadi awam gharon ki taamer no ke liye mazeed imdaad ke khwahan

Hyderabad: Selaab se mutasirah makanaat ke Hyderabadi awam hukoomat se chahtay hain ke woh naqad Relief 40 hazaar rupay se badha kar 50 hazaar rupay kar dein kyunkay is waqt jo 10 hazaar rupay diye gaye hain woh tamam nuqsanaat ki laagat ko poora karne ke liye kaafi nahi hai.

Hyderabadi Awam ne kaha hai ke un ke liye sirf 10 hazaar rupay hi ashyae zarooria kharidne aur 1 mah tak makaan ka kiraya ada karne ke liye kaafi hon ge. Agar imdaad mein 5 guna izafah kiya gaya to is se inhen gharelo samaan jaisay TV, Fridge, Washing Machine aur deegar kharidne mein madad miley gi jo selaab mein beh chuke hain.

Khairtabad ke MS Mukhta ke kuch rahaishion ne jin ke gharon mein selaab ke baais pani daakhil hogaya hai unhoun ne media ko bataya ke jab woh hukoomat ki janib se munasib maali madad haasil karen ge tab hi woh apne makanaat ki bahaali kar payen ge. Reyasti hukoomat ne tabah shuda makanaat ke liye 1 lakh aur juzwi tor par nuqsaan pounchanay walay makanon ke liye 50 hazaar rupay ki maali imdaad ka elaan kiya. 10 hazar rupay ki raqam gharon mein libaas, Bartan, Khanay ki ashya, Gharelo samaan waghera ke zeyaa par bator imdaad taqseem ki gayi.

MS Mukhta ki Shehnaz Begum jinhon ne selaab mein gharelo samaan bartano se le kar Electronic ashya tak khoya hai unhoun ne kaha mera shohar be rozgaar hai. Hamari kamzor maali haalat ko mad-e-nazar rakhtay hue, Reyasti hukoomat hamein mazeed raqam day. Hum 10 hazaar rupay se kiya kar payen ge jabkay hamaray 1 lakh rupay ke gharelo samaan zaya ho chukay hain? Covid bohraan ne hamein pehlay hi pareshan kardiya hai aur ab barish ne mamlaat ko mazeed kharab kardiya hai. Hukoomat ko wada kardah raqam jari karna hoga. Ek aur rehaishi Abdul Rahim ne kaha is madad se hum apne ghar ki murammat aur apni zindagi ko dobarah shuru nahi kar saktay hain.

Alawa azeen Malaan Bi ne kaha hamaray ghar ka ek bada hissa baarisho se gir gaya. Hum ne nuqsaan pouncha huwa hissa Plastic se chhupa liya hai. Hamaray paas is ki murammat ke liye raqam nahi hai. 10 rupay ki naqad imdaad ke liye riyasat ka shukriya ada karte hue unhoun ne wazeer KT Rama Rao se wada ki gayi izafi raqam ki ajrayi ki darkhwast ki. Unhoun ne kaha hai ke makaan ki taamerno ke liye, Hamein kam az kam 4 lakh rupay darkaar hain, Kyunkay tamirati samaan bohat mehanga padta hai. Agarchay hukoomat hamein 1 lakh rupay bhi day deti hai, Tab bhi hum baqi raqam haasil karne ka tareeqa nahi jantay hain Syed Asghar ne apni kahani sunai.

National Disaster Management Authority ( NDMA ) ke sabiq Vice Chairman Shashidhar Reddy ne shehar mein haal hi mein tabah kun sailaabon ki tabah kadiyon se nimatnay ke liye ek full Proof Mechanism ki zaroorat par zoor diya. Unhoun ne kaha Hyderabad ko khobsorat banana tarjeeh honay ki bajaye shehrion ki hifazat ko awliyat dainay hogi. Unhoun ne kaha ke zaroori hai ke hukoomat afaat se nimatnay ke liye ek Authority banaye kyunkay hamein bunyadi Infrastructure ki zaroorat hai jabkay hukoomat ne 65 hazaar crore rupiye kharch karne ke bawajood hamaray paas woh Infrastructure nahi hai.