Sunday, April 20, 2025
HomeIndiaMutasir kan mansubey, housla afzaa waday lekin phir bhi Make In India...

Mutasir kan mansubey, housla afzaa waday lekin phir bhi Make In India nakaam

Hyderabad:  Hindustan mein is waqt be-rozgari apne qadam mazboot kar rahi hai aur muashi bohraan apna seena tane apni taaqat ka muzahira kar raha hai. Modi hukoomat ne rozgaar ke jo bhi daaway aur waday kiye the woh sab nakaam hotay nazar aarhey hain. is darmiyan Larsen & Toubro Limited ( L&T ) ke chairman aur national skill development corporation ke sarbarah AM Nek ka ek ahem bayan nazar se guzra hai jis mein unhon ne Modi hukoomat ke shohrat Yafta mansoobah make in India ko nakaam tehrate hue kaha ke is se mulaazmaten paeda nahi ho payi hain. Naik ne is mansoobah ko nakaam honay ki ek badi wajah yeh batai ke companian Hindustan mein banay maal ki jagah beron mumulk se maal daraamad karne ko ziyada tarjeeh day rahi hain.

AM Naiku ne yeh baat live minute ke sath ek mulaqaat mein guftagu ke douran kahi. Wazeer-e-Azam Modi ki Make In India scheme ke barey mein bohat kuch kaha gaya aur kiya bhi gaya lekin hum ab bhi samaan ki bar-aamdgi ki jagah mulaazmaten bar-aamad kar rahay hain. iske sath hi Naik ne kaha ke beron mumulk se samaan ki daraamdgi karne ki ek wajah yeh bhi hai ke beron mumulk se samaan udhaar mein mil jata hai jab ke mulk ki companiyon ke paas finance ke ziyada mutabadil nahi hain. aisay mahol mein woh udhaar samaan nahi day paati hain aur is ke sabab companian beron mumulk se samaan mungvana ziyada pasand karti hain .

L&T ke chairman ke mutabiq abhi hum skilled yani hunar mand labour ki farahmi ke sath qadam aur taal nahi mila pa rahay hain aur is ki wajah manufacturing shoba mein aayi kamzoree hai. Hindustan ko China ki tarha taiz taraqqi karni hogi kyunkay Hindustan ki abadi China ke taqreeban barabar hi hai.

Barson se policy sazoon ke darmiyan is muamlay par behas ki jarahi thi ke kis tarha Hindustan ko manufacturing ka ek aalmi markaz banaya jaye aur Hindustan mein manufacturing ko taizi se farogh diya jaye, is mauzo ko Modi ne apni kamyabi ke liye istemaal kiya aur sirf chand mahino mein hi sarmaya kaari mein sahoolat paeda karne, akhtraaat mein taizi laane, hunar mandi ke farogh mein izafah karne, danishwarana amlaak ka tahaffuz karne aur manufacturing ke bunyadi dhanchay ki taamer ki khatir make in India Nami muhim ka aaghaz kiya gaya tha.

Make in India ki pehal chaar satonon par qaim ki gayi thi, jinhen nah sirf Hindustan mein sanat kaari ko farogh dainay ke liye nishaan dahi ki gayi hai balkay manufacturing aur dosray shobo mein bhi farogh dainay ki nishaan dahi ki gayi hai. make in India muhim kaarobar mein aasani ko sanat kaari ko farogh dainay ka sab se ahem Ansar samgha jane laga. kaarobar mein aasaan mahol faraham karne ki khatir pehlay hi kayi iqdamaat kiye jane ki tafseelaat bhi paish ki gayi hain. iska maqsad kisi bhi kaarobar ke liye license khatam karna aur usay ghair muzabt karna hai.

Jadeed aur kaar-amad bunyadi dhancha sanati farogh ke liye nihayat ahem zaroorat hai. hukoomat ka maqsad sanati rahdaryan qaim karna aur smart shehar qaim karna tha taakay taiz raftaar muwasilat aur marboot naqal wo hamal ke bandobast ke sath jadeed tareen technology par mabni bunyadi dhancha faraham kiya jasakay yeh mansoobay kaghzat par kaafi behtar maloom hotay hain. jabkay sabiq bunyadi dhanchay ko sanati clusters mein bunyadi dhanchay ko behtar banakar mustahkam kiya jane ka wada bhi kiya gaya tha. taiz raftaar registration nizaam ke zariye akhtraaat aur tehqeeqi sar-garmion ko taawun kiya jayega aur isi munasibat se danishwarana amlaak ke huqooq ke registration ke liye bunyadi dhancha qaim kiya gaya aur usay jadeed banaya gaya. sanat ke liye hunar mandi ki zaroriat ki nishaan dahi kiye jane ka behtar khawab dikhaya gaya aur is ki munasbat se afraadi qowat ke farogh ka kaam kiye jane ki baat kahi gayi thi.

Make in India ne Manufacturing , bunyadi dhancha aur khidmaat ki sar garmion mein 25 shobo ki nishaan dahi ki thi aur web portal aur pesha waranah tor par tayyar kiye gay browser ke zariye tafseeli maloomat faraham ki gayi theen. difai pedawar, tamirat aur railway ke bunyadi dhanchay mein badey tor par FDI ki ijazat nama jari kiye gay the.

Riwayati tor par sanat hukoomat ko ek regulator ke tor par dekhatii hai. make in India ka maqsad is rujhan ko badalna aur hukoomat wo sanat ke darmiyan raabtey mein yaksar tabdeeli paeda karna tha. hukoomat mulk mein iqtisadi taraqqi ke liye sanat ke sath Sajhedaari ko bhi ahmiyat di gayi, iska tareeqa-car ek regulator ka nahi balkay ek sahoolat-car ka hoga. make in India programmed ishtiraaki koshisho ki sathon par taamer kiya gaya, un mein markazi wazeer, hukoomat hind ke secretary, reyasti hakoomaten, sanati leader aur unke mukhtalif Sajhedaar shaamil hain. makhsoos shobo par decemeber 2014 mein munaqidah qaumi work shop mein hukoomat hind ke secretary aur sanati leader yakja hue the, jis ka maqsad aglay teen barson ke liye ek action plan tayyar karne par tabadlah khayaal karna tha, taakay manufacturing ke shoba ka GDP mein taawun badhakar 25 feesad kiya jasakay.

Un kamoun ke nateejay mein wahid sab se badey manufacturing ke iqdaam ke liye ek naqsh raah tayyar hua jo haliya tareekh mein kisi mulk ke zareya kiya gaya sab se bada iqdaam honay ka daawa kiya gaya hai. ishtiraaq ke is model ko Hindustan ke aalmi sajhedaaron ko shaamil karne ke liye kamyabi ke sath towsee ki gayi taakay Hindustan ka America aur deegar barray aalmi mumalik se tijarti taluqaat ko mustahkam kiya jasakay.

Make in India programme ke tehat Hindustan mein kaarobar karne mein aasani par tavajja markooz karte hue kayi ahem iqdamaat karne ke waday hue un mein sab se naya IT par mabni darkhwast aur maloomat haasil karne ka amal tha lekin haliya parlimani session mein IT qanoon ko hi kamzor kardiya gaya hai. license ke zabton ko aasaan aur maqool bananay ke liye reyasti hukoomat ki satah par bohat se naye iqdamaat karne ki baat to ki gayi lekin is ke khatir khuwa nataij bar aamad nahi hosakay. labour qawaneen se le kar online return daakhil karna aur sanati license ki muddat mein izafah karne ke liye regulatory mahol ko maqool bananay tak bohat se iqdamaat bhi sirf kaghazi karwai mein sunahre iqdamaat nazar atay hain lekin haqayiq is ke bar-aks hai kyunkay is waqt Hindustan ek muashi bohraan se guzar raha hai jis ki sab se badi misaal Auto mobile shoba mein masail, sust rawi aur mulazimtoun mein takhfeef hai. –YTN STAFF