Saturday, May 4, 2024
HomeIndiaMutanazia shehriat Bill Rajya sabha mein Manzoor, TDP aur YSRCP ne Bill...

Mutanazia shehriat Bill Rajya sabha mein Manzoor, TDP aur YSRCP ne Bill ke haq mein diya vote

New Delhi: Hukoomat ki janib se tajweez kardah aur 3 mumalik ke ghair muslim tarkin-e-watan ko hindustani shehriat dene ki koshish wala mutanazia ”sheriyat tarmeemi Bill  ( CAB ) 2019, ko lok sabha se manzoori milnay ke baad, opposition jamaatoun ki sakht mukhalfat ke ba-wujood, aakhir-kaar Rajya sabha mein bhi ye Bill  Manzoor hogaya. iske sath hi ab Pakistan , Bangladesh aur Afghanistan ke ghair muslim tarkin-e-watan ko mulk mein shehriat dene ki raah hamwar ho gayi.

chaharshambe ko Rajya sabha mein saadhay 6 ghantay taq Bill par behas hui. Markazi wazeer-e-dakhla Amit Shah ne kaha ke teen mumalik ke ghair muslim tarkin-e-watan ko shehriat zaroor di jayegi, lekin is ka ya matlab nahi hai ke kisi ki shehriat khatam ki jayegi.

Unhon ne opposition ke is ilzaam ko mustard kiya ke ye Bill  musalmanoun ke khilaaf hai.

Rajya sabha mein Bill  ke haq mein 125 arkaan ne vote diye, jabkay 105 arkaan ne is ki mukhalfat ki. BJP ke alawa NDA ki Haleef jamaatoun, janata dal, SAD, ne Bill  ki himayat ki. ghair BJP jamaatoun mein, AIDMK, BJD, TDP aur YSRCP shaamil hain, jinhon ne Bill  ke haq mein vote diya.

Wahein, BJP ki sabiq Haleef shiv sena ne Rajya sabha mein Bill ki manzoori ke douran ewaan se walk out kiya. jabkay shiv sena ne lok sabha mein Bill ki himayat ki thi. walk out se mutaliq party ne wazahat ki ke, hukoomat ne iski janib se uthaye gaye sawalaat par itminan bakhash jawabaat nahi diye. Shiv sena ke 3 arkaan Parliament ke alawa samajwadi party aur NCP ke 2, 2 aur TMC ka ek rukan bhi ghair haazir rahay.

Opposition jamaat congress ne mazkorah Bill  ki sakht mukhalfat ki. aur Rajya sabha mein is Bill  ki manzoori par congress ki uboori sadar Sonia gandhi ne sakht tanqeed ki aur kaha ke ”Ye hindustan ki dastoori tareekh ka yom-e-siyah hai aur ye ,mulk ke tanawo par tang nazar zehniat walon ki jeet hai. –YTN STAFF