Saturday, October 5, 2024
HomeIndiaMutanazia qawaneen, hukoomat ke khilaaf kisanoun ka Delhi mein tractor march

Mutanazia qawaneen, hukoomat ke khilaaf kisanoun ka Delhi mein tractor march

New dehli: Zarayi islahat qawaneen ke khilaaf aur fasloun ki kam az kam imdadi qeemat ko qanooni hesiyat dainay ke mutalba karte hue aaj kisanoun ne Hindustan ke dar-ul-hukoomat Delhi mein tractor March nikala.

Aaj subah taqreeban 11 bajey Delhi ke singhu, ghazipur aur takri border ilaqon se tractor March nikala gaya. ghazi pur border se shuru hue kisanon ki is tractor March ki qayadat kisaan rehnuma rakesh Tiket ne ki. March kandoli, manesar aur palwal express way tak rasai haasil kya. mutanazia qawaneen ke khilaaf rawan tehreek ke 43 win din nikalay gaye is March mein shaamil afraad hukoomat mukhalif naaray laga rahay thay. Hukoomat aur kisanon ke darmiyan jummay ko aathwein daur ke muzakraat honay hain. Gumaan kiya jaraha hai kisanon ne baat cheet se pehlay hukoomat par dabao bananay ki hikmat-e amli ke tehat tractor March nikala hai.

Yahan is baat ka tazkara ahem hai ke kisanon ke sath bijli sabsadi aur parli jalanay walay kisanon ke khilaaf karwai nah karne ke silsilay mein ittafaq hogaya hai taham kisaan teen zarayi islaah khawaneen wapas lena aur kam az kam imdadi kheemat ko khanooni darja den eke mutable ke sath apne moaqaf per khayam hai. Hukumat teenoun zarai islah khawaneen may tarmeem karna chahti hai aur kam az kam imdadi kheemat per tehreeri yaqeen dehani karna chahti hai.

Daren asna tikyet ne kaha ke woh hukoomat ke sath muzakraat ke silsilay mein pur-umeed hain aur is liye hukoomat ki dawat par woh baar baar muzakraat mein hissa le rahay hain. Unhon ne kaha ke shadeed sardi aur barish ke bawajood Delhi ki sarhadoon par kisanon ki tehreek jari rahaygi. Tractor March mein Punjab, Haryana, Uttar pardesh aur Rajasthan ke kisanon ne shirkat karte hue usay kamyaab bananay ki koshish ki hai. yaad rahay ke yeh rally guzashta roz hi munaqqid shudni thi lekin kharab mausam ki wajah se is March ko multawi kardiya gaya tha.