Friday, May 17, 2024
HomeSliderMutanazia fast bowler Sreesanth ki team mein wapsi

Mutanazia fast bowler Sreesanth ki team mein wapsi

Thiruvananthapuram: IPL Spot fixing mein pabandi ka saamna karne walay fast bowler Shanthakumaran Nair Sreesanth ko kerala cricket association ( KSA ) ne aindah season mein apni Ranji squad mein shaamil karne ka faisla kiya hai, basharte ke woh apni fitness saabit kardein.

BCCI ke zareya Sreesanth par tahayaat pabandi aed kardi gayi thi jab unka naam IPL spot fixing mein samnay aaya tha. taham baad mein is pabandi ko kam karkay 7 saal kardiya gaya, jo is saal September mein khatam hogi.

Pabandi ka bazabta khatama honay par Sreesanth ko mumkina camp mein bulaya jasakta hai jahan inhen bunyadi tor par fitness test paas karna hoga.

 

Corona ke paish-e-nazar Domestic cricket ke aaghaz ke baray mein koi wazahat nahi hai. taham KCA ne mumkina khiladiyoun ki ek fehrist tayar ki hai taakay jame mansoobay ke mutabiq ijlaas ki tayario ka ineqad kiya jasakay. KCA ne 37 sala Sreesanth ki wapsi ke imkanaat par khushi ka izhaar kiya hai. Sreesanth ne apna aakhri first classe match 2013 mein irani cupp mein khela tha .

 

Fast bowler ney pehlay bhi kaha tha ke unki aala satah par cricket khelnay ki khwahish abhi khatam nahi hui hai. yaad rahe ke ye 2013 ka IPL season tha jab fixing mein mulawis honay ke ilzamaat ki bana per sreesanth ko rajasthan royals ke do khiladhiyon ke sath Dehli police ney giraftar kiya tha. yeh dodigr khiladi ajeet chandela aur ankita chouhan they. iske baad BCCI ney Sreesanth par tahyat pabandi aed kardi thi lekin 2015 mein khusoosi adalat ney inhen tamam ilzamaat se buri kardiya tha.

Isi douran saal 2018 may kerala high court neh bhi BCCI ke zareya Sreesanth par lagai gayi tahyat pabandi ko kaladm qarar day diya tha lekin supreme court ne saal 2019 mein Sreesanth par pabandi ko barqarar rakhtay hue BCCI se is pabandi ki saza ko kam karne ka mutalba kiya tha. iske baad BCCI neh unki tahyat pabandi ko saat saal mein tabdeel kardiya.

Jab Sreesanth par pabandi ki muddat isi saal khatam hochuki hai to kerala ne inhen ranji team mein shaamil kiya lekin yeh bhi wazeh kardiya ke unke khelna ya na khelna poori tarhan unki fitness par munhasir hoga. Sreesanth ne kaha ke mein dobarah mauqa faraham karne par KCA ka shukar guzar hoon mein apni fitness saabit karoonga aur khel mein kamyabi se wapas aonga. ab waqt aagaya hai ke tamam tanazuath ko baalaye taaq rakha jaye. KCA secretary ney yeh bhi kaha ke Sreesanth team ke liye asasa saabit honge. Sreesanth ney 27 test matchoun mein 87 aur ODI matchon mein 75 wickten haasil ki hain lekin ab jab ke inhen team mein jagah mil gayi hai kayi sawalaat Sreesanth ka peecha karte rahenge. –YTNSTAFF