Monday, April 29, 2024
HomeSliderMustaqil shanakht ke baghair Rohingya Myanmar wapsi ke liye tayyar nahi

Mustaqil shanakht ke baghair Rohingya Myanmar wapsi ke liye tayyar nahi

Dhaka: Bangladesh mein muqeem Rohingya panah gzinon nay myanmar ki janib se un ko qomiat tasleem karne aur baqaida shanakht diye janey ke elaan se qabal –apne malik wapas lotney se inkaar kar diya hai. Rohingya panah gzinon ke rehnumao nay yeh mutalba watan wapsi ke hawalay se mazakraat ke liye aaye myanmar ke hakkaam se kiya .

tafseelaat ke mutabiq myanmar fouj ki janib se Rohingya musalmanoo ke khilaaf jari ek par tashadud muhim ke nateeja mein 2017 mein taqreeban 7 laakh 30 hazaar Rohingya jaan bacha kar Bangladesh mein panah lainay par majboor hogaye they jahan woh kaks bazaar ke qareeb arzi camp mein muqeem aur wapas loutney se gorezan hain.

Aqwam-e-mutahidda ke tafteesh karon nay kaha ke Myanmar mein wasee pemanay par qatal aam, ijtemai ismat raizi aur jalao gherao nasal kashi ke iraday se kiya gaya taham Myanmar nay un ilzamaat ki tardeed ki. khayaal rahay ke yeh doosri martaba hai jab Myanmar hukkaam nay watan wapsi ke liye Rohingya afraad ko amaada karne ki gharz se kaks bazaar camp ka doura kiya. is se qabal october mein bhi myanmar se ek wafad mazakraat ke liye yahan aaya tha taham is waqt bhi Rohingya afraad nay watan wapas lotney ki peshkash mustard kar di thi.