Sunday, May 19, 2024
HomeIndiaMuslim qabrastan par Ram Mandir taamer na karne ka mutalba

Muslim qabrastan par Ram Mandir taamer na karne ka mutalba

Ayodhya: Babri Masjid Ram Mandir ka tanaza Supreme Court ke ek na qabil feham faislay se khatam huva aur Babri Masjid ki araazi Ram Mandir ki taamer ke liye fareeq ko day di bhi gayi hai aur is araazi par ek shandaar Mandir ki taamer ke liye Trust ka qiyam bhi amal mein aachuka hai lekin ab is araazi par Ram Mandir ki taamer par tahaffuzaat zahir kiye jarahay hain. Kaha ja raha hai ke jis araazi par Ram Mandir ki taamer ka mansoobah hai wo araazi musalmanoun ka qabrastan hai aur yahan ek sadi qabal huve fasadaat mein mout ki neend sonay walay Muslim afraad ki tadfeen huvi hai aur ab kis terhan Muslim qabrastan par Ram Mandir ki taamer hosakti hai ye sawal uthaya gaya hai.

Uttar Pradesh ke Ayodhya mein mujawaza Ram Mandir ki taamer ke liye banaye gaye Trust Shri Ram Janmabhoomi Teertha Kshetra ke ilaqay ke no Musalmanoun ne khat likha hai. Unhoun ne Appeal ki hai ke musalmanoun ki qabar par naya Ram Mandir na banayen. Khat mein kaha gaya hai ke Babri Masjid ke aas paas 1480 murabba meter ke ilaqay mein naya Ram mandir na banayen. Kaha gaya hai ke hukoomat ke zareya 67 aekar ki zameen Ram Mandir ke liye istemaal karna Musalmanoun ke daaway ko poori terhan se cheenna aur qanoon ke khilaaf hai.
The Indian Express ki ek Report ke mutabiq khat mein kaha gaya hai ke aaj bhallay hi mauqa par qabar nazar nah aa rahi ho lekin wahan ki 4-5 aekar zameen par Musalmanoun ki qabrain then. Aisay mein wahan Mandir ki taamer kaisay ki ja sakti hai. Nu Musalmsn shehrioun ne wakeel ke tavassut se Trust ko arsaal kardah khat mein likha hai ke markazi hukoomat ki taraf se saal 1993 mein Ayodhya mein haasil ki gayi 67 aekar zameen Supreme Court ke faislay ke baad hukoomat ne Ram Mandir ki taamer ke liye di hai. Is zameen par Musalmanoun ki qabrain then. Markaz ne is par ghhor hi nahi kiya ke Musalmanoun ki qabar par azeem ul Shan Ram Mandir nahi ban sakta. Ye mazhab ke khilaaf hai.

Khat mein mazeed kaha gaya hai ke aap sabhi samaaj ke beedar loog hain. Aap ko sanatan dharma ki jaankaari hai. Aap ko is par zaroor ghhor o fikar karni chahiye ke kiya Ram Mandir ki bunyaad musalmanoun ki qabar par rakhi ja sakti hai. Is ka faisla Trust ki intizamia ko karna hoga. Report ke mutabiq khat mein tareekhi haqayiq ka hawala dete huve kaha gaya hai ke saal 1855 ke fasadaat mein 75 musalman maaray gaye aur sabhi ko yahin dafan kiya gaya. –YTN STAFF