Saari duniya se bahadur khatoon ki tareef honay lagi
London: Maghribi duniya mein nasli taasub aur mazhabi minafirt ke waqeat aeye din runuma hotay hain lekin unhi ke darmain aisay loog bhi manzar aam par atay hain jin ka kirdaar kisi Hero se kam nahi hota. Aisa hi ek waqea Bartania mein Rail mein pesh aaya jahan ek sharpasand shakhs yahodi khandan ko injeel dekha kar pareshan kar raha tha tab hi ek Muslim khatoon ne is sharpasand ko aade hathoun liya. Social Media par viral honay walay Video mein dekha ja sakta hai ke ek yahodi khandan London ki zair zameen Rail mein safar kar raha hai. Is Video mein nazar anay walay yahodi shakhs ke baen janib ek chhota bacha betha huwa dikhayi deta hai aur is ne bhi yahudioun ki khaas topi pehan rakhi hai.
Un ke sath hi khada 1 shakhs inhen musalsal pareshan karta dikhayi deta hai. Wo namaloom shakhs haath mein Bible pakdae hue hai aur baar baar unke samnay Bible ka wo hissa padhta hai, Jin mein yahudioun par tanqeed ki gayi hai. Is Video mein yeh bhi dekha ja sakta hai ke ek nazar na anay wala aadmi aur ek Scarf wali khatoon agay badh kar is shakhs ko roknay ki koshish karte hain aur behas shuru kar dete hain. Khatoon baar baar haath oopar karte hue is behas ko khatam karne ka mutalba kar rahi hai. baad azan ye Video Internet par Viral hogaya aur 5 Million se zayed loog usay dekh chuke hain. London ke muqami Media ke mutabiq yahodi khandan ko tang karne walay shakhs ko giraftar kiya ja chuka hai.
Baad mein musalman khatoon ki shanakht Amsma Shuweeq ke naam se hui aur unhoun ne kaha ke unhoun ne wohi kiya, Jo wo theek samajh rahi theen. Asma ne kaha ke wo khud bhi sirf mazhab ki buneaad par is terhan ke hamloun ka nishana ban chuki hain. Bamujab Asma ke ek Maa, Baamal Musalman aur shehri ke tor par ye unka farz tha, Mein sirf khadi ye tamasha nahi dekh sakti thi ke wo ek khandan aur bachoun ke sath kiya kar raha tha. Social Media par Asma Shuweeq ki bohat tareef ki ja rahi hai aur mutadid sarfeen ne kaha hai ke duniya ko bohat si aisi Asma Shaweeq ki zaroorat hai. –YTN STAFF