Thursday, May 2, 2024
HomeSliderMusalmanoun ko siasat se wabasta honay ki zaroorat

Musalmanoun ko siasat se wabasta honay ki zaroorat

Graduate Voter list mein naam indraj se mutaliq shaoor bedari muhim


Hyderabad:
Graduate Voter list ki tajdeed kari ka programme jari hai. Intikhabaat se pehlay Voter list ki tashkeel ki jati hai. jo Mard o khwateen 31 december 2020 se pehlay degree ki sanad ya iski masawi sanad rakhte hain woh sab form ki khanah puri ke baad apna naam darj karasakte hain.

Pur kardah form  ke sath afraad apni degree ka marks card ya sand ya passing certificate convovation mein se kisi aik ki gazette officer ki dastakhat kardah naqal, aadhar card ki naqal, voter id card ki naqal haliya passport size ke ek photo munsalik karna hoga.

MLC Voter list mein nojawan musalmanoun ke naam ke indraaj se mutaliq shaoor bedari muhim ke tehat ek ijlaas se janab wahed ali Khan advocate ne apne khayalat ka izhar kar rahe thay.

Unhoun ne kaha kay election commission of India ne telangana ki graduate aur teachers Zumra ki MLC nishiston ke liye fehrist raye dahindgaan ki tayari ka amal shuru kardiya hai. Commission ne aalamia jari karte hue is ka schedule jari kiya. Graduate halqon ke arkaan ki miyad march 2021 ko khatam horahee hai.

Hyderabad, Rangareddy aur Mahboobnagar azla par mushtamil halqa se BJP qaiyedeen Ram chandar rao jab ke Khammam warangal aur Nalgonda se nishist se TRS ke P. Rajeshwar reddy muntakhib hue thay.

Dr Jahagir Ahsaas ne is mauqa par apne khayalat ka izhar karte  hue kaha kay mulk mein secular iqtedar ko pal karne aur unhen jad se ukhadnay ke liye shar pasand anasir aedi choti ka zor lagaye hue hain. Aisay mein muashray ki reedh ki haddi kehlanay walay nojawan agay aayen aur apnay under intezami salahiyat paida karte hue amli siyasat mein hissa len. Bilkhushoos taleem Yafta afrad ko chahye ke woh samnay aaye aur siyasi maidan mein apni ahmiyat ko ujagar karen .

Musalmanoun ke halaat ke liye hukoomat aur musalman dono zimmedaar hai. Musalmanoun ko bhi mulk ki taraqqi ka hissa banna chahye.

Alawa azeen  Dr syed habeeb imam qadri secretary Minority educational guidance and welfare society ne kaha kay mulk ko aise leader ki zaroorat hai jo sach mein secularism par yaqin rakhta hon. Hindustan ki siyasat mein tanasub ka sawal hai to musalmanoun ko chodh kar sab ki hissa daari hai. Musalmanoon ke masail ka hal mili ittehad may dhonda jata hai aur mashrati aur iqtesaddi umoor ko he ahmiyat nahi di jati hai. masail ka ghair jazbati andazmin muhasba karne ki zaroorat hai. MLC graduate halqa mein muslim nojawan mard o khawateen badh chadh kar hissa letay hue is khila ko pur kardein.